𝐒𝐨𝐳 𝐄 𝐘𝐚𝐪𝐞𝐞𝐧
Chapter Ten
mohabbat rang de jaatī hai jab dil dil se milta hai
magar mushkil to ye hai dil badī mushkil se milta hai
Kirki se aate huwe suraj ki roshni us pe parne ki wajha se woh apni nind se uth khari hui thi...ankhein masalti nazar jab apne barabar pe pari tou woh waha maloom na huwa... woh gabarai thi aur bed se uthe khari hui.. Par jese hi uske kano Mai awaz sunai di woh foran uski taraf murri, woh safaid full sleeves wali shirt jiski sleeves fold kiye aur black pant Mai mabloos sabit ho raha tha woh ek minute tou usko dekhti hi reh gayi...
"mai intazar karun ga ap log ajaye, Haan.. Haan jesa apko sahi lage... oke... chale Allah hafiz"
Usne phonee band karte huwe apni pant ki side jaib mai rakha tha jab uski nazar us pe ja pari jo usko hi dekh rahi thi...
".... Assalamualaikum"
Usko kuch samjh nahi aya aur gala khirchte huwe salam kiya
"... Wa... walikumassalam"
Usne foran sharamindgi se nazre niche kar li...
"tayar ho jayein bibi jaan arahi hain milne"
Jaibo mai hath Dale woh dewar ke sahare khara hogaya tha
".. Jee"
Woh kehti foran washroom ki janib bhar gayi aur woh uskee intazar mai bed pe Beth gaya tha..
Kuch hi paal mai Zarnish bhi naha dho kar tayar ho chuki thi... laal jore pe halki pulki sunhri rang ka kaam huwa huwa tha aur sath hi sunhrey rang ka dupatta apne ek side pe tikaye.. Baal kholo chore woh tayar thi... saadi par khoobsoorat...
"hmm.. Mazrat"
Shehryaar uske barabar pe aa khara huwa.. Aur Woh usko heran nazro se dekhne lagi..
"kal raat ye dena bhool gaya pata nahi dimag se kese nikal gaya... I hope apko pasand aya ho" tora aage huwe usne dressing drawer se ek chota sa daba nikala tha ... usko kholte us mai se ek sada titliyo wala sunhrey rang ka bracelet apne hath mai pakre woh us se khud pehnane ki ijazat mangne laga aur usne asbat mai sar hila dala....
"agar pasand na aya ho tou hum wapis kar sakte hain aur phir ap apni marzi se le lena jo apko pasand aye actually mujhe aesi cheezo ki knowledge nahi haina"
Woh kehta chala gaya aur woh usko ghor se sunti gayi
"sach kahun tou ye bhot pyara hai"
Uske chehre pe gehri muskurahat mujood thi
"ek sach mai bhi kahun ye apki kalai mai Hadd se zyada pyara lag raha hai"
Woh muskurahat ke sath kehta uski ankho mai dekhne laga aur woh bhi muskuraha di...
*knock knock*
"mai dekhta hun"
Shehryaar kehta darwaze ki taraf chal diya
"sorry Maine apko disturb tou nahi kiya na woh actually Bibi jaan ayi hain Zari bhabhi se milne tou ap log ajaye"
Darwaza kholte Husam chehre pe muskurahat sajaye mujood tha
"hum aate hain"
Shehryaar ke kehte woh waha se chala gaya...
"aao chale niche"
Uska hath pakre woh apne kamre se bahir nikal chuke thy... aur Zarnish ke Chehre ne muskurahat khud se alag na ki
"MashaAllah meri bachi kesi hai"
Bibi jaan ne us se foran gale lagaya aur tabhi shehryaar uska hath chore kuch fasle pe ja khara huwa
"mai thek ap sunaye Bibi jaan ap kesi hain"
"mai bhi thek mere bache"
"sab theek haina shehryaar"
Sikandar uske sath aa khara huwa aur fikarmandi se puchne laga
"sab theek hai baba sain ap fikar na kare"
Woh muskurahy bola aur un sabke sath nashte Mai sharik ho gaya...
Nashte se farigh huwe Zarnish bibi jaan ko apne kamre mai le bethi baatein karne lagi thi aur sikandar Husam shehryaar teeno hall Mai bethe kuch ap pas ki baato mai magan thy...
"beta sab kuch thek haina? "
Kuch haal o haal ke baad bibi jaan mutmeen hona chahti thi...
"jee"
Usne muskura ke kaha
"tum khush hona? "
"jee"
Woh phir muskurai
"sach keh rahi ho"
Bibi jaan apne dil ko har haal se mutmeen karna chahti thi
"kya apko apne hi faisale pe bharosa nahi hai"
Woh unko unke kiye faisale yaad karwane lagi
"hai lekin tumhari fikar..."
"Meri fikar karna chor de mai yaha bhot khush hun "
"ye sun kar Waqai khushi mehsos hoi"
Ab ki baar Bibi jaan halka muskurai
"lekin ek dar sa hai..."
Woh soche boli...
"dar? Kesa dar"
Bibi jaan ke maathy pe shikan aane ko thi
"dar.. Mujhe dar lagta Hai kisi ko koone se"
Ab ki baar chehre pe muskurahat nahi ek ajeeb sanjeedgi thi...
"tumhe kisne kaha tum usko kho do gi"
"dil... mere Dil ne kaha"
Woh thehry thehry boli...
"ye dil itni jaldi dar bhi raha hai"
"janti hun faqat mujhe nikkah se phele koi umeed nahi thi mera dil mutmeen na tha lekin kal raat se mujhe khud se zyada bharosa hogaya un pe na jane kyu tab se ek dar dil mai Beth gaya hai ke kahi mai kho na dun inko.."
"tum kyu kho gi??"
"waqt... waqt ka koi bharosa nahi haina bibi jaan ajj aesa aur Kal na jane kesa"
Woh Waqai dar rahi thi ajj itne saalo baad kisi ko koone se....
"khud ko Azad kar do is dar se"
Bibi jaan uska hath apne hath mai pakre usko tasali ke lehje mai keh rhi thi..
"nahi kar sakti ek baar khoshish ki thi tou sab kuch hi kho diya tha maine..."
Ankhe bheegne lagi thi alfaaz zuban ka sath chor rahe thy.......
...
"jee, Han woh file mere kamre mai mujood hai mai apko bas tori dair tak behjwata hun"
Husam aur sikandar ke sath woh baatein hi Kar raha tha ke uska phone baja usne caller id dekhe phone foran utha liya, baat sunne ke baad woh fori tor par uth khara huwa aur apne kamre ke janib chal diya jab kamre ke darwaze ke samne aya tou uski awaz ne uske qadam yakdam ruka diye....
"dar.. Mujhe dar lagta Hai kisi ko koone se"
"tumhe kisne kaha tum usko kho do gi"
"dil... mere Dil ne kaha"
"ye dil itni jaldi dar bhi raha hai"
"janti hun faqat mujhe nikkah se phele koi umeed nahi thi mera dil mutmeen na tha lekin kal raat se mujhe khud se zyada bharosa hogaya un pe na jane kyu tab se ek dar dil mai Beth gaya hai ke kahi mai kho na dun inko
"tum kyu kho gi"
"waqt... waqt ka koi bharosa nahi haina bibi jaan ajj aesa aur Kal na jane kesa"
"khud ko Azad kar do is dar se"
"nahi kar sakti ek baar khoshish ki thi tou sab kuch hi kho diya tha maine..."
Usko khushi zaroor hoi thi ke Zarnish us pe bharosa karne lagi Hai lekin woh khud darta tha waqt se us waqt se jab usko khud us se sach batana hoga ek aesa sach jo shyd hi zindagi badal Dale... apni socho ko dabaye usne gehra sans bhara aur chehre pe muskurahat sajaye andar knock Kar ke dhakil huwa....
Zarnish usko dekhe apne anso puchne lagi aur ek muskurahat uski taraf pesh ki is si mai Bibi jaan ijazat manghe apne ghar ki taraf chal di...
Woh apni file almari se nikale ab bed pe uske barabar aa betha...
"roi thi?"
"nahi tou mai bhala kyu rohun gi"
Chehre ka rouk doseri taraf murre usne kaha
"Zarnish mai nahi janta aapki mukamal kahani... lekin ye zaroor kahun ga guzre huwe waqt ko ek bure khawb ki taraf bhool jao aur aage bharna sikho"
Ek lamhe ke liye uski ankho mai dekhe Zarnish ne sanjeedgi se kaha
"Koi shay ek si nahi rehti, umar dhalti hai ghum badalte hain.... Par shukriya apki advice ke liye mai khoshish karun gi"
"Zakham wo jaga hai jahan se roshni aap ke andar dakhil hoti hai....."
"Zakham khane lazmi hote hain kya?"
Woh ab uski ankho mai khoye boli....
"haan...kyu ke Bagair chot khaye Bagair thokar khaye ap asal jeena nahi sikhte ye sab zaroori hai apko ek mazboot o zarf shaks banane ke liye....
Behtareen zindagi jeene k liye is haqeeqat ko tasleem karna parta hai k sab ko sab kuch nahi mil sakta.... Lehaza samjhato karna sikhe...
Khushiyon ka taluq aap ke halaat se nahi aap ke faislon se hai.... Isliye kehte haina soch samjh kar faisala liya jaye takay aage jakay koi pachtawa na rahe... "
" par hum hi kyu? "
" Allah tala tou apne khas bande ko hi azmata haina jab woh humse itni mohabbat karta hai phir ye sawal kesa mai hi kyu?... Kya suna nahi
صبر کرنے کا ہرگز یہ مطلب نہیں کہ آپ نے رونا نہیں ہے
Allah ke qareeb hojaye sab asan hojaye ga us se kabhi juda na hona, woh bethar se bethareen karne wala hai "
wo ab bed se uth chuka tha, peeche Zarnish uski baat sunne phr se boli.. Wo kaha Shehryaar ki tarah khuda ko pehchanti thi wo tou bas duniya hi parakti thi...
" halat.... zindagi inka kya? "
Wo uski taraf murre muskura diya.. Uske liye apni biwi ko samjhna ek bethar intakaab tha nakay usse ussi ki hi raah pe yun chor jana.. akele uljano ka samna karte.. Wo uske sth har lamhe rehna chahta tha.. Aur yeh tou uski khoshish ki Shuruwat thi..
"Halaat jesay bhi hoon mera Allah rasta nikal hi deta hay"
"Bhrosa rakhein us Rab pr jo deta hay bin mangay hi itna kuch.. Mang kar dekhe wo bhi aata ho jaye ga jo na mumkin sa lagta hai.. Baat yaqeen ki pehle aati hai.. Yaqeen us rab zaat par kamil rakhe"
Woh la jawab ho chuki thi.. Aur ek lamhe ye sochne pe majboor hochuki thi ke Waqai dooriya itni bhar chuki hain kya... kya waqai woh apne rab se itni dur thi... aese mai kya woh apni mili khushiyo se hath tou dho nahi bethe gi... woh badalna chahti thi khud ko... aur shyd soch liya tha kar liya tha khud se ek ehd... Khud se khuda tak ke safar ka wada....
.........
"arey wah yar tumne shaadi bhi kar li, mubarak ho... tou ye hain bhabhi"
Black three piece suit mai woh stage Pe chare un dono ko nazar bhahe muskurahat ke sath bola....
Ajj dono ka walima tha... Sab kuch ek dam khoobsoorati se dekh raha tha.. Wo dono bhi apne apne libaso mai koi shehzadoon shehzadiyoon se kam nahi lag rhy thy...
Shehryaar usko yaha paa kar heran huwa tha aur doseri taraf Zarnish bhi heraan hui thi aur shehryaar ki taraf dekhe yun ankho hi ankho mai puch rhi ho ke ye hai kon achanak?
"shukriya"
Shehryaar bhi halki muskurahat ke sath pesh aya
"tou iski zindagi ab tabah samjhun"
Sharati muskurahat ke sath usne shehryaar ke kaan ke pas sarghosi ki
"aesa kuch nahi mazeed tum bhi kuch karne ka na sochna"
Shehryaar ne bhi uske kaan ke pas halki awaz mai kaha tha... Zarnish dono ko sawaliye nazro se dekh rahi thi..
"Aray yar choro mai bhala kyu isko nuksaan puchaon ga mera badla tou tumse aur tumhare ghar walo se pura hoga"
"Chale bhabhi Allah hafiz mai chalta hun meri biwi darasal mera intazar kar rahi haina" wo Zarnish ki taraf dekhe usse mukatif huwa tha, Zarnish jawaban halka sa muskurai...
Akhiri nazar shehryaar pe dale woh hall se bahir chala gaya tha... Shehryaar thehra uski aane ki uljano mai ghoom..
"best friend's?"
Zarnish ki awaz pe wo apni uljano ko band kar chuka tha
"thy...."
Shehryaar ke kehte Zarnish ek baar phir heran hui thi barhail dekhne mai dono jese baat kar rahe thy aese tou dost na thy ka maloom hona wazeh haqeeqat na tha par khair haqeeqat tou haqeeqat haina...
"kyu? ....."
Shehryaar ne ankhe band kiye gehra sans bhara tha...
"Mera wada hai apse mai apko ek din zaroor sab kuch bataon ga"
Woh uski baat pe muskuraha di...jese uski baat kehna hi kafi tha.. Shyd uska yaqeen ka safar shuru ho chuka tha..
Aese mai woh function bhi apne iktitam ko aya tha
Sab mehman apne apne ghar wapis ja chuke thy aur woh dono bhi ab apne ghar apne kamre mai wapis aachuke thy.... Raat ho chuki thi...
"ap preshan lag rahe hain"
Uske barabar pe woh aa khari hui... woh ek nazar us pe dale wapis chand ki roshni ko jhakne laga..
"nahi tou... mai tou bas apne khuda ki nehmat pe heraan hun aur khush bhi"
"aapko pata hai maine kabhi nahi socha tha mujh pe koi itni jaldi bharosa kar lega.. Woh bhi tamam umar ke liye, is si baat pe ek wada karna chahun ga apse"
Nazro ka ruk uski taraf murre usne kaha aur woh usko ghoor kar mutwajhan sunne lagi...
"mai apko kabhi akela nahi choron ga humesha apke sath khara rahun ga chahe woh kesa bhi marhala ho"
Uska hath apne hath mai liye usne dil se kaha tha aur Woh usko sunne pore dil se muskurahayi thi... Par kon janta tha sath rehna naseeb ki baatein huti hain..
"Shehryaar Maine khud kabhi nahi socha tha ke mai bhi kisi pe itni jaldi bharosa kar lun gi, aur na hi maine apke hawale koi aesi umeed rakhi thi sach kahun tou dil mutmeen na tha apke sath jurne ko lekin mai galat thi ap.. Ap bhot achay hain Hadd se zyada achay sabka acha sochne wale itna tou andaza mujhe ho chuka hai ke ap kisi ka burra nahi chah sakte lekin shyd asal wajha samjhne mai mujhe waqt lage... akhir kyu sab apse khafa hain ap.. Ap apne wahid ghar pe kyu nahi hain.. Par puri umeed hai woh sab apko jald wapis bula Lein ge unko ek din zaroor apki achai nazar aye gi "
" Mera dil mutmeen hai tumhare sath"
Uski ankhe us pe jham hi chuki thi... aur uska bechara dil teezi se dharkne laga... aur gaal na chahte huwe bhi surkh ho chuke thy....
"humesha muskurahati raha karein bhot pyarii lagti ho aur mere Dil ko bhi rahat milti hai"
Wo raat tou behad khoobsoorat thi.. Par raat ke baad din ko bhi charna huta hai.. Aur din kya kuch najany apne sath insaano ke liye la sakta tha azmaishoon ke tehet issi se tou bechara insaan wakif bhi nahi huta..
.....
"tou hogayi uski shadi ki tarkibaat puri?!" yeh wahid garajti awaz Arzang khan ki thi.. Jo Sikandar, Dilawar aur Tabassum ko yun diwan khane sath bethe muskurahate dekhe sunai di thi ...
Wo teeno aaj shehryaar ke walime se louty yaha bethty thy.. Waqt raat ka tha.. Yani sunsaan mahool ird gird ka chahya huwa tha..
"Ji. ALLAHUMDULILLAH! us rab ka lakh lakh Shukar hai Koi rukawat nahi aane di shadi mai" yeh Sikandar tha jo usne nazre milaye dhat kar khare huwe jawab de raha tha.. Aur wahi se apne kamre ki janib chal diya tha..
"jao tum log bhi apne kamre mai huh"
Arzang khan ab Dilawar aur Tabbasum se mukatif thy.. Wo dono bhi khamoshi se apne kamre ki taraf chal diye thy..
"Dadajaan!!!" wo larki bahir se aaty jhat se unke gale lag Chuki thi.. Arzang khan usse dekhe muskura diya aur ek shafqat bhara hath uske baalo mai phirne lagy..
"kidhr thi meri ladli Haan" unho ne pyar bhare lehje mai usse mukatif kiya
"um wo bas busy thi ek party thi bs Waha" unse alaida huwe wo apni baat wazeh karne lagi..
"Alisha beti ek baat batao"
"ji puchy!" Alisha kehti uske sath hi barabar sofe pe beth chuki thi
"apki mama ne apko bataya ke apke cousin ki shadi ho chuki hai"
"Cousin?" Alisha ne bhram mai lafz duraya
"apke taye ke bete ki" Arzang khan ne apna gala khircty bataya tou usne ek gehra sans hawa mai uchhala
"tou wo.. Ghatiya shaqs ki shadi hogyi.. Kon bechari hai wo jisko aese ghatiya Shaqs ke naam apni zindagi karni pari"
"pata nahi.. Jakay mil aao tum usse" Arzang khan ke aese mashwara pe wo foran si uth khari hui.. Uska chehra sanjeedgi ki lehre utha rha tha..
"NO WAY!! Mai uske ghar qadam nahi rakh sakti.. I JUST HATE HIM AND HIS BELONGINGS!!! URHHH" wo cheek uthi thi.. Uske dil o wajood mai sirf aur sirf nafrat ke angare basty thy... Wo uska zikr sunne hi gusse se aag bagola ho jati thi..
Arzang khan apni jagah se uthy uske kandhe pe hath rkhe uske gusse ko thanda karna chah rhy thy
"bs bache.. Relax.. Meri baat suno puri" wo usse sofe pe bethne ka kehte apni baat ka agaaz kar rhy thy
"uske ghar jao us waqt jab Wo ghar par nah ho.. Uski biwi se milo usko batao uske dimag mai yeh baat dalo jiske sath tum apni zindagi guzarna chah rahi ho wo dar haqeeqat bht muktakif hai insaano se.. Wo ek behtar humsafar nahi hai wo tume barbad kar dega.. Smajhi aesi baatein uske zehn khashi kar aao"
"yeah you are right! Perfect plan to destroy the bitch man"
Wo dono bilfez muskura diye thy.. Wo kaha janty thy wo kya karne ja rhy hain.. ek paakezgi rishte mai darar dalne ja rhy thy.. Agar dono mai se ek ka dil bhi zara sa ehsas naame cheez rakhta tou wo aesa nah sochty aur na ek dosere ki baat mai haami bharty. Lekin afsos wo dono nafrat mai itna kho chuky thy ke yeh tak na soch sakay yeh raasta kis mor par un dono ko laa chorne wala hai..
....
"Arwa ye sab tumhari marzi se...."
Woh usko kamre mai lejata huwa puchne laga... ye haqeeqat tasleem karna uske liye na-mumkin tha behad na-mumkin
" meri marzi se huwa hai "
Woh apne hath pe pehne huwi laal churiyo ko hilati boli woh tou behad khush thi.... Laal jore mai wo mabloos khari thi.. Baal uske peeche se bun ki surat mai bandhe huwe thy aur aage kuch latty nikli nazar arahi thi..
" kyu... kesy? "
Uske pas puchne ko alfaaz na thy lekin woh janna chahta tha sach... ek sach
" Mohabbat karti hun mai nizam se aur woh mujh se "
" Waqai woh tumse mohabbat karta hai? " uski ankhein herangi ka saya liye huwe thi..
" zahir hai werna mujhse nikkah kyu karta"
" agar aesa tha tou hum mai batati hum sab mil Kar tumhari shaadi karwatey"
" bhai kya ap nahi jante dada abu woh bhot gusse wale hain, woh zara pasand nahi karte nizam ko"
"mai janta hun meri guriya lekin apne jo Kiya woh bhi tou galat haina"
" kya?.... " woh foran uth khari hui
"Maine nikkah karke galat Kiya hai"
" Maine aese nahi kaha guriya... "
Woh usko samjhna chah raha tha ke Waqai uska Matlab kya tha... lekin qismat apna khel khel rahi thi... Ya shyd yun kahy kisi ki sazaish apna rang nikhar rahi thi..
"lekin apka Matlab tou yahi haina, sahi kaha tha nizam ne mai apko na bataon ap us se jealous hote haina humesha se"
Woh gusse ho rahi thi aur khud ko khos bhi rahi thi...ke usne apne kuch hi lamhe phele banne shohar ki baat ka aitraam nahi kiya..
"khudara larki aesa kuch nahi hai"
Woh apne baalo mai hath phirey usse dekh raha tha.. Lekin shyd waqt uske hath se phisle hi ja raha tha..
"aesa hi hai mai ab sab samjh rahi hun sab... phele tou mai samjhti thi ke dada abu hi aese hain lekin nahi ap konsa kam hain ap bhi uthne hi bure hain balke kahi tarjee zyada... pata hai ap mai aur dada abu mai kya farq hai, farq ye hai ke dada abu apna gussa apni nafrat zahir karte hain lekin ap sirf o sirf achay pan ka dhonk nachatay hain... ap jese badkirdar maine apni zindagi mai kabhi nahi dekha"
Nafrat... ajj pheli baar zindagi mai Arwa sikandar ne... shehryaar sikandar ke liye nafrat zahir ki thi...
" I HATE YOU... I HATE YOU... SELFISH CREATURE huhh "
Woh behad gusse mai kehti kamre se bahir ja chuki... aur woh uske alfaazo ko hazam karta reh gaya... Wo alfaz nahi khanjar thy jo sirf uske seene pe teero ki tarah chupey thy.. Uska dil ras raha tha.. Wo kesa dil tha jo abhi tak mara hi nahi.. Us waqt tou usse ek hospital ke icu mai hona chahiye tha par nahi wo wahi ussi jagah khara tha bilkol nam huwe jese jam sa gaya ho Waha.. Kisne kaha mout ek dafa hi huti hai koi usse is lamhe puchta ke zinda mout Kya huti hai jism mai rooh ke hute huwe bhi yun sa lagna jese yeh jism be-jan sa hai...wo shehryaar bata ta ke us lamhe wo kis mout ka shikar huwa tha..
" kon hai yeh?"
Zarnish ne uske kandhe pe hath rakhte pucha.. Wo yun bed pe bethe ek tasveer pe kho sa chuka tha..
"bhot khass...."
Uske jawab pe Zarnish ne foran apna hath utha liya uske kandhe se...jese Ke usska kisi aur ko khas kehna usse acha nah laga ho
"mujh se bhi zyada..."
Khud se puche... khud ko azeeyat de bethi... Awaz halki thi lekin Shehryaar ke kano tak puch chuki thi. M
"yaha betho"
Woh janta tha woh uske peeche chup chap apne sawalo ke sath khari hai isliye uska hath pakre apne samne bethne ko thykit ki
"Behn hai meri..."
You are reading the story above: TeenFic.Net