Part 6

Background color
Font
Font size
Line height


Manik aur Mukti saath me lunch karte hai aur phir Mukti Manik ko Rihaab ki tour

karati hai aakhir Manik ko waha pe ek mahina jo gujarna tha.

Mukti: Manik yahaan pe Mr. Sharad Mehra hai.business me nuksaan hone ki waje se biwi

aur bache chod ke chale gaye.nashe me dubte gaye aur yahaan aa gaye.

Manik (pointing at a room): yeh kiska kamra hai.

Mukti: usse tum dur hi rehna.woh Adi khana ka kamra hai.college me drugs ki aadat

lag gayi aur tab se aisa hi akela raha karta hai.

Manik: Itni kam umar me log samjte nahin.aur yeh wala.

Mukti: yeh Madhyam Singhania hai.teen mahine pehle nashe ki halat me car chala raha tha.

accident ho gaya aur tab se yahaan pe coma me hai.

Manik; bahot bura hua bechare ke saath.

Mukti: bura to isse jis aadmi ka accident hua uska.pura parivaar khatam kar diya isne.

Manik (worried): Mukti.hum bahar khuli hawa me ja sakte hai.

Mukti: sab kuch thik to hai na.chalo pehle.

Manik aur Mukti bahar garden me bethe hai.

-Mukti: Manik jab se maine tumhe Madhyam ke bare me bataya tum kuch pareshan lag rahe ho.

Manik: Mukti mere parents ki death ka jimedar bhi main hi hoon.meri waje se mom dad.

Mukti (shocked): Manik.saaf saaf batao kya baat hai.

Manik (tears in his eyes); Mukti.maine hi us din zid ki thi mom dad to apne pass aane ki

kyunki main tut chuka tha .jab Nandani ne mere pyaar ko thukraya tha.main apne kamre me

bethe bethe apne pyaar ko kos raha tha jab mere cell pe call aaya ki mom dad ka accident

ho gaya aur woh dono muje akele chod ke chale gaye.main bahot akela mehsoos karne laga.mom

dad bhi nahin rahe aur Nandani bhi muje chod ke chali gayi.jine ke liye do hi sahare the.

Cabir aur sharab.main har chuka tha apni zindagi se.

Mukti (tears in her eyes): Manik main tumhara dard samaj sakti ho lekin usme tumhari koi

galti nahin.galti to halat ki hai. ab to ek umeed jagi hai na.Manik ab tumhe Nandani ke

bare me sochna chahiye.

Manik: Haa Mukti.ab Nandani ke liye to jina hai aur Nandani ke liye hi marna hai.waise

kya yeh hospital ke bahar uski koi apni zindagi hai ya nahin.

Mukti; 24 ghante me se to 20 ghante yahi apne office me hoti hai.shayad ab tum hi use

jina sikha do.

Manik: waise aaj subaah ke baad maine use dekha hi nahin.

Mukti: aaj tuesday hai aur her tuesday ko Nandani sixth floor children ward me hoti hai.

jao jake mil lo.jaona.

Manik: thik hai.bye.

(in chilldren's ward)

Nandani is sitting on one of the bed and some children are sitting making circle aroud her.

Manik saw that and just stands near the door without letting Nandani know.

Nandani: thik hai priya maine tumhari kahani suna di.ab bolo kiski bari.

Neha: meri bari Di.aaj aap muje woh sehjade ki kahani sunayengi.

Nandani: Thik hai.yeh kahani hai ek rajkumati ki.bachpan se ek hi sapna dekhti thi ki ek

din uska rajkumar safed ghode pe sawar hoke aayega.

Neha: Di.to kya woh rajkumar aaya.

Nandani: Aaya bhi aur rajkumari ki galti se chala bhi gaya.

Neha: to kya woh rajkumar bhi chod ke chala gaya,

Manik: nahin beta.woh to aaj bhi rajkumari ka intzaar kar raha hai.

Priya: aapne rajkumari ko dekha hai kya.

Manik (looks at Nandani): haa dekha hai na.bahot hi khubsurat hai.masoom sa chehra.

jab hasti hai to aisa lagta hai jaise phool barste hai.uski aankhon ke samne puri

duniya tham jati hai.jab woh pass se gujarti hai too apni khusboo fiza me fel jati hai.

bahot hi pyaari lagti hai woh rajkumar ko.

Neha: kya woh rajkumar rajkumari se pyaar karta tha.

Manik (looks into her eyes): bahot pyaar karta tha.karta hai aur shayad apni puri zindagi

karta rahega.

Priya: aur woh rajkumari.

Manik: woh bhi karti hai.sirf kehne se darti hai.

Nandani: galatfemi me na raho to achcha hai.

Manik: pyaar kiya hai aur main apne pyaar ko duniya ke samne lane se darta nahin.

kyunki mera pyaar mamuli nahin hai.

Nandani; aisi umeed mat rakho jise tum puri na kar sako.

Manik: umeed bhi to apno se hum karte hai.

Nandani: tumhe samjana namunkin hai.she left the room.

Manik (to himself); Pyaar to karti ho aur ek din tum khud izhaar karogi.

Three weeks have been passed.Manik ab Nandani ko pyaar ke aage maboor karna chod

diya hai kyunki woh Nandani ke pyaar ke saath saath Nandani ki dosti ko nahin khona

chahta tha,.lekin din bitate gaye aur Manik ke liye Nandani ka pyaar gehra banta gaya.

Navya aur Cabir Manik se milne aaye hai.

Navya: Manik.tumne Nandani se kuch baat kahi.mera matlab ab tumhare pass sirf ek hafta

reh gaya hai.

Cabir: Manik.kyun tu jake sidhe hi Nandani ke inkar ki waje puch na le.

Manik: kayi baar puchne ki himaat ki lekin uski aankhon ke samne kuch bhi na keh saka

aur main pyaar ke liye Nandani ki dosti nahin khona chahta.

Cabir: mat bhul ki tera yaha aane ka makshad sirf yahi tha ki Nandani ke pass apne pyar

ko izhaar karana.

Someone dropped her stethoscope.Manik, Cabir and Navya turned around and shocked to

see Nandani and Mukti are standing at the door.Manik can see how much pain is in Nandani's

eyes.she didnt speak anything but her tears have spoken everything.Nandani left the room

without saying anything.

Manik: Nandani.ruko.meri baat to suno.

Mukti: jane do Manik.shayad thodi dair akeli rahegi apne aap thik ho jayengi.

Manik: lekin is tarah .

Mukti: tum fikar mat karo main dekhti hoon.

Mukti went to Nandani's office but she already left for her home.

Next morning Manik, Mukti, Navya aur Cabir Manik ke room me baatein kar rahe the

.Jab Nandani waha pe aati hai.

Nandani: yeh tumhare liye court ka letter hai tumhe isi waqt yeh ribaah chodna hoga.

Manik: iska matlab tum mujse pyaar karti ho.tumhe darr lagta hai mera samna karne se.

Nandani (gusse me): main kisi se pyaar nahin karti.pyaar dard ka naam hai.pyaar

jaise koi cheez is duniya me hai hi nahin.maine tumhe pehle hi kaha tha ki main

tumse pyaar nahin karti.nahin karti main tumse.

Manik: bahot karti ho.tumhari aankhon me behne wale yeh aanshu joothe nahin hai.

yeh mere pyaar ka saboot hai.

Nandani: Muje majboor mat karo Manik ki main dosti bhi na nibha sakhu.

Manik ((gusse me): Thik keh rahi ho.tum jaise insaan se pyaar karna hi galat hai

.tum kya janogi ki pyaar kya hota hai.Nandani aaj tumne mujse mera pyaar china hai.

lekin main aaj bhagwan se dua karta hoon ki woh bhi tumhe tumhara pyaar chin le.

Slappppppppppppp.everyone shocked to see Mukti slap Manik so hard and Nandani was

standing like dead.

Mukti(gusse me): Main hi galat thi.muje laga ki tum Nandani ko samaj sakonge.

lekin tum bhi auro ki tarah nikale.kya kaha tumne ki Nandani se uska pyaar chin le.

jise pehle hi apna pyaar kho diya.uske pass khone ke liye ab bacha bhi kya hai.

Cabir: jo bhi kehna ho saaf saaf kaho.

Mukti: Nandani Aryaman ki widhwa hai.

Everyone was shocked to hear it.Manik looks at Nandani who is standing and tears are

not able to stop.

Manik (shocked): Mukti yeh sab kaise.

Mukti: Manik yeh baat tab shuru huyi thi jab Nandani yahaan pe nayi nayi aayi thi.

Yeh hospital ke incharge Dr. Aryaman the.Nandani unke saath apni intenship

kar rahi thi.dekhte dekhte dono me dosti aur dosti se pyaar ho gaya.teen mahine baad

Nandani aur Aryaman ke shaadi huyi.maine Nandani ko kabhi itna khush nahin dekha tha.

jab bhi woh Aryaman se saath hoti thi to bas apni duniya me khoyi huyi rehti thi.un dono

ko dekhkar koi bhi keh sakta ki dono ek dusre ki jaan the.Nandani ki shaadi ko ek saal

se jyada ho gaya tha.Us din Aryaman apni confernce ke liye Shimla gaya hua hota hai jab

Nandani ki report aayi.Nandani maa bannewali thi.yeh baat jab Nandani ne Aryaman ko batayi

to woh khushi se pagal hoke Nandani ko milne hospital nikal pada.raste me Aryaman ka

accident us Madhyam Singhania se hua jo samne ke kamre me hai.jab Aryaman ko hospital

laya gaya usne saansien chod di thi.Nandani Aryaman ko dekhte hi behosh hoke gir gayi.

pure do din tak behosh rahi.jab hosh aaya to na to uska pyaar uske pass tha nahi uska

bachcha.woh bilkul tut chuki thi lekin Aryaman ke is hospital ke maksad ke liye usne apne

aap ko sambhala.yaha tak ki apne pati ke katil ko bhi apne hospital me panah di kyunki

Aryaman hamesha kehta tha ki doctor ki zindagi me unke ferz pehle bad me sab kuch.jab muje

pata chala ki tum Nandani se pyaar karte ho.muje laga ki tum samajte ho lekin tum bhi nahin

samaj paye.(to Nandani).Nandani.muje maff kar dena.aaj phir se maine tuje rula diya.main to

sirf tuje khush dekhna chahti thi.maine sirf tumhari suni zindagi me humsafar lana chahti thi.

Manik (interuppts): Aaj bhi Nandani ke zindagi me humsafar lautega.mera pyar itna kamzor bhi

nahin ki yeh janne ke baad me tumhe chod doon.nahin Nandani aaj se tumhare dard,,,,,,,

tumhari tanhaai.tumhare aanshu sab mere hai.yeh sab janke mere dil me tumhare liye aur

bhi pyaar aur izzat badh gayi.Nandani me aaj bhi tumhe apna na chahta hoon.

Nandani was shocked to hear and looks down because she doesnt have courage to face Manik.

Manik waha pass me padi huyi knife ko utata hai aur apne haath ko katta hai.aur

apne khoon se Nandani ki maang bhar deta hai.Nandani was so shocked of Manik's

behavior.Everyone else in the room didnt expected this.Nandani apne haath se

apni mang ko chuti hai jisme Manik ka khoon hota hai.Nandani sadme ki waje se

apne kadam piche lene lagti hai.jab woh diwaar se takrati hai aur woh wahi diwar

ke sahare neeche zameen pe beth jati hai abhi bhi apne haath me Manik ka khoon dekh

ke.Woh kuch bolti bhi nahin aur nahi react kar rahi hai.sab log yeh dekhkar ghabra jate hai.

Mukti (comes and sits infront of her): Nandani.tum kuch bolti kyun nahin.kuch to kaho.

Mukti shakes her.

Nandani (hugs Mukti and cried loud); Kya bolu Mukti.kya rakha hai mere pass kuch bolne

ke liye.Main harr gayi Mukti.main harr gayi.main bewafa hoon .maine Aryaman ke pyaar ko

dhoka diya.maine Aryaman se diye huye vaade tod diye.tod di woh kasme jo shaadi ki waqt

khayi thi ki main sirf Aryaman ki hoon.Mukti main sirf Aryaman ki hoon to mere maang me

Manik ke naam ka sindoor kaise.Nahi hoga mujse .nahi hoga.she brekes down in Mukti's arms.

Manik, Cabir aur Navya ki aankhon me bhi aanshu aa jate hai.

Manik (comes forward and sits infront of her): Nandani tum hamesha se Aryaman ki thi

aur rahogi.main to sirf tumhare gumm aur yeh dard batna chahta hoon.Nandani main tumhe

dukh dena nahi chahta tha lekin mere pass aur koi rasta bhi nahin tha.Nandani main

tumse bahot pyaar karta hoon aur muje koi shikwa nahi hai ki tum mujse pyaar nahin

karti kyunki mera pyaar hum dono ke liye kafi hai.Nandani tum

bhale hi mujse pyaar na karo lekin kam se kam mera saath to de do.Nandani kuch to kaho.

Nandani: Manik tumne muje kaha bolne layak choda.main kuch waqt akele rehna chahti

hoon.Mukti kya tum muje ghar chod sakti ho.

Nandani gets up and leaves the room with Mukti leaving Manik broken heart.


Navya and Cabir conseles him.

You are reading the story above: TeenFic.Net