Aaj Manik ko discharge kiye huye do din ho gaye hai.kal raat ko Abhi bhi ghar laut aaya hai.
Mukthi Abhi ko Manik aur nandini ke ristey ke bare me batati hai.Abhi yeh janke bahot khush
hota hai ab nandini ki zindagi me phir se khushiyaan aayegi.koi aisa aayega jise woh apna
keh sake.Lekin abhi Abhi kahi na kahi kuch soch me ulja hua tha.Abhi Mukthi ko batata hai
ki woh Manik se milna chahta hai.Mukthi Manik ko phone karke Navya aur Cabir ke saath
subaah coffee house me milne ko kehti hai.
(In the coffee house)
Cabir, Navya aur Manik bethke Abhi aur Mukthi ka intazar kar rahe the.
Navya: Omg.us din ke baad main to darr hi gayi thi nandini ka gussa dekh ke.
muje nahin lagta ki main aap logo ka saath de pau.agar use pata chal gaya ki hum
sab mile huye hai to.
Cabir: Navya.tu bhi hamesha ki tarah darpok hi rahogi.Manik ne hum dono ko milake
apni dosti nibha di.ab hamari bari hai.
Navya: Kya Manik tumhe bhi wohi milni thi.
Manik: Kya karoon nandini ke aage muje aur kuch dikhta hi nahin.
Tab Mukthi aur Abhi andar aate hai.sab log ek dusre ko introduce karte hai.
Abhi: Manik main tumhe to nahin janta lekin nandini ko maine apni behen banaya hai.
aur main janna chahta hoon ki kis hadd tak tum nandini ko chahte ho.kya kar sakte ho
nandini ke liye.
Manik: Main yeh to nahin kahunga ki main nandini ke bina jee nahin paunga.lekin woh
zindagi bhi meri liye maut se kam nahin hogi.rahi baat mere pyar ki to muje nandini
ke pyaar ki koi zaroorat nahin kyunki mera pyaar itna gehra hai ki yeh zindagi mere aur
nandini ke liye kafi hai.yeh vaada main tumse zaroor kar sakta hoon ki mere saath hote
huye uske aankhon me aanshu nahin aayege.main use phir se muskurana shikaunga.main use
wapas apni wahi purani wali nandini banauga.Agar nandini ka saath mere saath hai to muje
aur kuch nahin chahiye.meri khushi mera dard sab nandini se jude huye hai.lekin nandini muje
dost se aage kuch nahin manti.
Abhi: janta hoon lekin woh bhi halat se majboor hai.
Navya: halat se majboor matlab.
Mukthi: Abhi ka matlab hai ki nandini ne kabhi hospital aur unke patients ke aage kuch
socha hi nahin.Abhi Mukthi ko gor se dekhta hai.
Navya: lekin ab to nandini Manik se milegi bhi nahi.
Cabir: nandini Manik se nahin mil sakti lekin Manik to mil sakta hai na.
Abhi: main kuch samja nahin.
Cabir: Muje kal shaam hi court se letter aaya hai jis me likha hai kal Manik ke
sharab pike gadi chalane pe case hua hai.main kuch kar sakta hoon agar Mukthi mera saath de
to.
Mukthi: main nandini ke liye kuch bhi kar sakti hoon.
Cabir: Kal case ki sunwahi me Manik ko fine hoga lekin main court me apil karunga ki
Manik ko is bar saja dene ke badle inko rihaab me bhej diya jaye.aur iske liye
Mukthi tumhara letter chahiye.Phir jujge Manik ko kuch din ke liye legally LIFECARE
me bhej denge.aur is tarah Manik aur nandini dono aapas me mil sakte hai.
Abhi: Plan to bahot achcha hai.
Mukthi: main tumhe aaj sham tak letter pahoncha deti hoon.
Manik: lekin is bare me nandini ko kuch nahin pata chalna chahiye.
Abhi: tum kyun pareshan ho rahe hai.hum sab to ek achcha kam karne ja rahe hai.
Mukthi: haa Manik.Abhi bilkul thik keh raha hai.bhagwan pe bharosa rakho.
Cabir: ab main chalta hoon.muje abhi bahot sari taiyaariyaan karni hai.chale Navya.
bye everyone.
Navya: bye guys.best of luck.
Manik: ab main bhi chalta hoon.agar kal court ne faisla suna diya to muje kam se
kam do teen hafte tak to wahi pe rehna hoga.isliye office ka kuch kaam nipta leta
hoon.thanks for everything.
Mukthi: apno ko thanks nahin kehte.
Manik: thik hai.bye.
Mukthi: kya khayal hai Manik ke bare me.achcha hai na.
Abhi: haa Mukthi.sachcha hai dil ka.jo dil me hain wahi juban pe.aaj kal aise insan baho
kam hote hai.Manik ki aankhon me maine nandini ke liye pyaar aur tadap dekhi hai.bhagwan
kare ab aage sabkuch thik ho.
Mukthi: sab thik hi hoga.ab chalo muje bhi shopping pe jana hai.aakhir teen din ki bahot
muskeli se chutti mili hai.
(In the court house)
Cabir: Mukthi.tumhe yaad hai na tumhe kya karna hai.
Mukthi: i am ready.
Phir kuch waqt baad case ki sunwahi chalti hai.Cabir bahot guma phiarake baat ko
Mukthi ki aur maudta hai.judge Mukthi ko bayan ke liye bulate hai.
Mukthi; Main Lifecare Hospital me ek doctor hoon aur Mr. Malhothra mere hi patient the
.filhal to woh bilkul thik hai.lekin aage ki liye hume kam se kam Mr Malhothra ko
hamare hospitak ke RIHAAB me admit kiya jaye.Jaha pe unki yeh drinking habit ko
durr kiya jaye.main apne doctor hone ke nate yeh advice di hai.aage yeh faisla
court pe hai.Mukthi yeh keh ke chali jati hai.
Judge: Sab janne ke bad yeh baat tai hai ki Mr Manik Malhothra ek bahot ki achche insaan
hai lekin kuch personal problem ki waje se unhone yeh galti ki.ab unki yeh galti ki saza
hai Ki Mr Manik Malhothra ko Ek mahine ke liye Lifecare Hospital ke Rihaab me bhej diya
jaye aur jaha per unki doctor hogi Dr. Mukthi .This is final desicion on this case.
Sab log bahot khush hote hai yeh faise per.Manik ke chehre pe to khushi chalak rahi thi.
(In Lifecare Rihaab)
Subaah ke nauv baje huye the.Manik admit ho chuka hota hai.Cabir, Navya aur
Mukthi unke room me hote hai sab log nandini ka intazar kar rahe hote hai
kyunki nandini her subaah Nauv baje sare hospital ke rounds lagati hai aur her
ek patients se milti hai.
Navya: muje to abhi bhi darr lagta hai.main chalti hoon.
Manik: tu bhi na Navya.kaha na kuch nahin hoga.main nandini ko achchi tarah se janta hoon.
Mukthi: aa rahi hai woh isi taraf.
Cabir: ok.Mukthi aise behave karna ki tum kuch janti hi nahin.
Mukthi: ok.start kare ab.
Cabir: Dr.Mukthi yeh hai.court ke papers.aaj se aap hi inki incharge hai.
jab nandini room me aati hai.
nandini (shocked): Manik tum yahaan.tumhari tabiyat to thik hai na.
Mukthi: nandini.woh Manik ko court ne ek mahine ke liye hamare Rihaab me
rehne ko kaha hai.aur court ne unki doctor muje tai kiya hai.
nandini: ohhhh.good for u Manik.asha karti hoon ki tum Mukthi ko jyada tang nahin karoge.
Manik (smiles): Mukthi ko to nahin lekin koi aur zaroor hai.
nandini (smiles): Tumhe bhi yehi hospital mila tha.
Cabir: Hospital to kai hai lekin aap waha per thodi hi hoti.
nandini : kya kaha tumne.
Mukthi: kuch nahin.tumhe kya baki ke patients ko nahin dekhna.
nandini: Aap logo ke milne ke chakkar me main to bhul hi gayi.
Manik: Aage aage dekho hume dekhke tum kya kya bhul jati ho.
nandini (smiles): tumhara kuch nahin ho sakta.take good care oh himna ndini left
Navya: thank god.woh aaj gusse me nahin thi.
Manik: maine to pehle hi kaha tha.
Mukthi: ab yeh papers muje do aur tum log chalo.office nahin jana aapko.aur waise
bhi mere patient ko aaram ki zaroorat hai.
Cabir aur Navya dono Manik ko good bye kehke chale jate hai.
Mukthi: thanks Manik.
Manik: kis liye.
Mukthi: aaj kitne dino baad maine nandini ke chehre pe muskurahat dekhi.
Manik: Mukthi.ab se yeh muskurahat aaise hi rahegii.mujpe yakeen karo main bhi to
nandini ko khush dekhna chahta hoon.
Mukthi: muje pura yakeen hai ki tum muje meri wahi hasti huyi nandini lauta donge.
Manik (smiles): ab sab kuch thik hai Mukthi.ab tum jao usse pehle nandini tumhe yahaan dekh le.
Mukthi: thik hai lunch pe milte hai.bye.
Manik: bye.
You are reading the story above: TeenFic.Net