Part 16

Background color
Font
Font size
Line height


Nandani Manik se alag hoti hai.

Nandani (sharma ke): tum taiyaar ho jao.main tumhare liye nasta banati hoon.

Nandani waha se sharmake jane lagti hai.jab Manik uska haath pakadta hai.

Manik (holding her hand): Nandani.ek bar phir se kaho na ki tum mujse pyaar karti ho.

Nandani (sharmake): Manik.main ja rahi hoon.tum aajana.

Manik Nandani ka haath chodta hai aur Nandani sharmake room ke bahar chali jati hai.

Nandani was making breakfast when Manik calls for Ramukaka.

Manik: kaka.yeh file Cabir ke ghar ko pahuchani hai.aur ple unhe keh dena ki aaj meri

tabiyat thik nahin is liye main aaj office nahin aa raha.

Kaka: beta.tumhari tabiyat to thik hai.

Manik: main thik hoon aur unhe kehna ki main bilkul thik hoon.

Kaka: jee.

Ramu kaka Cabir ke ghar ke liye nikal jate hai.aur Manik kitchen me jata hai.

Nandani: Manik tum yaha kya kar rahe ho.

Manik: Socha ki aaj tumhari madad kar doon.

Nandani: tum aur rasoi.

Manik: kyun main nahin kar sakta.

Nandani: mera yeh matlab nahin tha.woh aaj se pehle maine kabhi tumhe nahin dekha

kitchen me.

Manik: ab baatein bandh karo.aur kaam karo.

Nandani: to yeh lo.(giving him vegetables to cut)

Manik vegetables katne lagta hai.aur Nandani tadka laga rahi thi.

Manik: aahhhhhhhhhhh

Nandani (runs to him): kya hua.

Manik (saw her his finger): woh meri ungli.

Nandani Manik ki ungli ko leke apne hoth se sare khoon ko chus leti hai.Manik sirf

Nandani ko dekhta hi rehta hai.

Nandani: tum thik to ho.chalo main tumhe bandage kar deti hoon.

Manik: Nahin Nandani main bilkul thik hoon.meri chot to usi pal thik ho gayi jab tumne

ise apne hothon se chua.

Nandani (sharmake): Manik.tum bhi na.

Manik (coming close to her): main bhi kya Nandani.

Nandani (feeling really nervous): woh.Manik.

Manik (inch apart from her): woh kya Nandani.

Nandani (puts her hair behind her ear): woh.

Shhhhhhhh.shhhhhhhhhhhh.the whitle of cooker disturb them.

Nandani: aap yaha bethiye main breakfast banati hoon.

Manik sits on the counter top and Nandani starts to make brakefast.

Manik: Nandani.muje nahin pata tha ki tumhe khana banana aata hai.

Nandani (smiles): Kyun main khana nahin bana sakti.

Manik: mera matlab tum doctor ho to.

Nandani: kya doctor bhi insaan nahin hote.

Manik: agar doctor tumhare jaise ho to baat sochne ki hai.

Nandani: aap ka matlab main insaan nahin hoon.

Manik: maine aisa kab kaha.yeh to tum khud hi keh rahi ho.

Nandani: thik hai main tumse baat hi nahin karti.aur Nandani dusri aur muh banake khadi

hojati hai.

Manik (wrapping his hands around her sholuders) : agar aap hi humse naraz ho jayegi to

hum pyaar kisse karenge.Nandani bahot tadpa hoon tumhare liye.tumhare pyaar ke liye.

ab yeh narazgi bardast nahin hoti.

Nandani (hugs him): haa Manik.ab yeh duri mujse bhi bardast nahin hoti.

Manik (kiss her forehead): I love you.

Nandani : i love you too Manik.

They had their breakfast and Nandani requests Manik to take her to the temple where

she always wanted to go with her love.she never got oppertunity to go with Arayman but

today from her heart seh wants to go with Manik.Manik agrees with her and they both

reached the temple.the temple is situated near forest.like to reach the temple you have

to cross whole forest.

(in the temple)

Manik aur Nandani bhagwan ke aage hath jodke prathna karte hai.

Manik : hey bhagwan.aaj tak aap ne muje jo manga woh diya hai.maine aapse Nandani mangi

to aapne Nandani ke saath saath uska pyaar bhi diya.aaj main sirf aur sirf Nandani ki

khusiyaan mangta hoon.Nandani jo bhi mange aap use de dena.meri khushiyaan bhi.kyunki

main Nandani ko dhukhi nahin dekh sakta.meri zindagi ki ek hi tamnana hai ki Nandani

khush rahe.muje aur kuch nahin chahiye.

Nandani: Hey bhagwan.jab bhi maine aap se kuch manga to aapne mujse woh chin liya.pehle

aapne muje Arayman

se milvaya uska pyaar diya lekin bad main Arayman ko apne pass bula liya

.aaj pata chala kyun kyunki.meri zindagi Manik se judi huyi thi aur hamesha rahegi.aaj is

Nandani ke naam ke saath saath Manik ka naam juda hai aur yeh naam aap kabhi bhi alag mat

karna.aap se ek hi chiz mangti hoon ki her janam me muje Manik ka pyaar mile aur muje uski

patni banne ka shobhagy mile.

Panditjee: Yeh sindoor lo beta ise apni patni ke mang me bhar dena aur yeh chunari ise us

ped pe ek saath bandh dena.aap dono ki murte puri ho jayegi.

Manik: jee.

Panditjee: bhagwan tuhari jodi salamat rakhe.

Manik: chale Nandani.

Nandani: hmmmmmm

Manik aur Nandani dono ped ke pass jate hai.Nandani chunari bandhne ki koshish karti hai

lekin ped ki dal bahot uchahi pe hoti hai.Manik Nandani ki madad karta hai.Manik aur Nandani

dono ek dusre ka saath dene ki kasme khate hai.Phir Manik Nandani ki mang me sindoor bhar

deta hai.Nandani Manik ki aur pyaar bhari nazar se dekhti hai.Nandani ki aankhon se aanshu

behne lagte hai.Manik Nandani ke aanshu pochata hai.

Manik: Nandani.in ankhon me kabhi bhi aanshu mat aane dena.main sirf is aankhon me

khushiyaan dekh sakta hoon.kya itna to mera hakk banta hai.

Nandani: Jab yeh Nandani tumhari hai to tum hakk ki baatein karte ho.aaj se vaada karti

hoon ki in aankhon me kabhi bhi aanshu nahin aayenge.

Manik: Nandani.ek aur baat.kabhi bhi muje chod ke mat jana.nahin jee paunga.

Nandani (puts her hand on his mouth): Manik bhul karke bhi kabhi mujse juda hone ki

baatein mat karna.nahin jee paungi tumhare bigar.

Manik: itna pyaar karti ho.

Nandani: ab khud nahin pata ki main tumse kitna pyaar karti hoon.haa lekin itna pyaar

karti hoon ki shayad yeh meri zindagi mere pyaar ke liye kam ho sakti hai.

Manik: I love you .

Nandani: I love you too.

You are reading the story above: TeenFic.Net