Part 23 Into the Abyss

Background color
Font
Font size
Line height

Janav *slightly smiles*- by the way to be honest iske muh se apna naam sunkar mujhe ร cha laga *amazed tone*like seriously isne mujhe 'Janav ji ' bola matlab Mr idiot se sidha janav ji,wow I can't believe this but it's sounds good*sudden smile disappear * par jyada acha feel karne ki zarurat nahi hai Janav tujhe kiyuki yeh aafat ki puriya tujhe sirf abhi yaha sabke samne hi tere naam se bula rahi hai , *mentally crying*warna yeh baat toh tu bhi achee tarike se janta hai Janav , ki akele mein toh yeh aafat ki puriya tujhe fir se dobara apne usi wahiyat wale naam se bulane wali hai,jisey sun kar tere achee khasee mood ka satyanash ho jata hai aur tu truftated feel karne lagta hai

Koi baat nahi Janav aage chal kar yn tumhe hardik wale naam se bhi bulayegi ๐Ÿ˜‰ ๐Ÿคช๐Ÿคฃ jisey sun kar tumhe aah ahaa aah ๐Ÿคฃ wali feeling hogi

Janav*still thinks in his mind+ frustrated tone*- ughhh naa Jane, abhi Tak kitni baar iss aafat ki puriya ne mujhe apne man mein mr.idiot bol bhi diya hoga, kiyuki iske liye toh Yeh ek hi wahiyat sa naam mere liye reserved hai, ahh i hate this name....

Janav's frustration is written all over his face, He is adorably fuming, while YN tries to stifle her giggles at Janav's reddening face, thinking in her mind," ohh my god Yn yeh Mr idiot aka Janav ji toh kaafi gusse aur frustration mein dikh rahe hai , like mr idiot ka chehre dekh kar toh aisa lag raha hai jaise ki kisi ne ek pyare khargosh ke muh se uski favourite carrot chin li ho aur ab voh khargosh uss insaan ko bade gusse bhari nazro se dekh raha hai, *looking janav angry face* aww now literally he just look like an angry rabbit * mischievous smile* hmmm yn toh ab ek kaam karte hai aur iss angry and frustrated rabbit ko aur bhi angry and frustrated feel karwate hai "

"With a sly, noughiest grin, YN locks eyes with Mrs. Mehra, who's gazing back at her. YN then repeats herself, her expression dripping with knowing innocence," ab aunty ji agar Janav ji ne uss time apni chai ki cup ko thoda sa dhyan se pakda hota, toh Chai ki cup unke haath se chutkar unke upar hi nahi girti, aur tab mujhe Janav ji ko washroom tak le jane ki zarurat bhi nahi padti. phir, main aap se pakka jaldi mil bhi leti, aur aunty ji aapko mere liye utni der wait bhi nahi karna padta, toh overall aunty ji Mr...mera matlab Janav ji ko apne upar chai girne dena hi nahi chahiye tha, because na toh Janav ji ke upar chai girti aur na hi mujhe aap se milne mein der hoti ,hai na aunty ji main sahi keh rahi hu na janav ji ko apne upar chai ki cup nahi girana chahiye tha nah??

YN asks this question very cutely and innocently, as if she's known Mrs. Mehra for years and is sharing with her about her son's foolishness.

And while asking, she gives a cheeky smile towards Janav, indirectly hinting that he's an idiot,and because of him she ended up late meeting Mrs. Mehra.

As soon Janav hearing YN's conversation and sees her teasing smile, getting angry and thinking sarcastically to himself," haa haa miss aafat ki puriya tum bilkul sahi keh rahi ho mujhe nah apne upar chai ki cup ko girne dena nahi chahiye tha par shayad tum yeh nahi jaanti ho ki jab kisi insaan ke samne koi aafat ki puriya hi aakar khadi ho jaye toh uss insaan ke upar garm chai toh kya asman se bijlee bhi gir sakti hai,toh overall mujhe apne upar chai ki cup ko naa girne dene ke liye yaha aana hi nahi chahiye tha , because nah toh main yaha aata ,naa toh main ek baar fir tumhara darshan paata,aur naa hi mere upar garma garam chai girti , hai na aafat ki puriya ab main bhi bilkul sahi keh raha na mujhe yaha tumhare ghar nahi aana chahiye tha na ๐Ÿคฃ๐Ÿคฃ

Janav repeated the same words to himself, in the same tone, at the same moment, just as Yn had innocently asked Mrs. Mehera.

But unlike Yn's innocent query, Janav's inner voice was laced with anger, his teeth gritted in frustration, as he glared at Yn with a cute yet fiery gaze, his eyes blazing with annoyance.

Janav's thoughts swirl, leaving him increasingly frustrated. He's suddenly transported back to the day he first met YN, and memories of their initial encounter come flooding back.

Every detail, every word, every gesture - it all rushes to the forefront of his mind. As the recollections overwhelm him, Janav's frustration reaches a boiling point, his emotions simmering just below the surface, now he let out a frustrated sigh and think in his mind,"maine toh kabhi yeh expect hi nahi kiya tha ki main iss aafat ki puriya se fir kabhi milunga bhi, magar waheguru ji ne pehle se hi yeh accept kar liya tha ki mujhe dobara issey milna hai tabhi toh pure dehradun mein ek iss aafat ki puriya ka ghar hi mila bhaiya ke rishte ki baat karne ke liye, ohh god pata nahi kis Janam ka badla le rahe ho aap mujhse , mujhe nahi pata tha ki mujhe "mere brother ki dulhan"
dhundhna itna bhadi pad jayega"

Lo Yeh toh abhi se hi ghabra Raha hai,pata nahi aage chal kar iska kya hoga ๐Ÿคฃ๐Ÿ˜‚ bhagwaan sambhal lena isey ๐Ÿ˜œ๐Ÿคฃ๐Ÿ˜‚.....

As Janav sit there, utterly bewildered and frustrated, YN can't help but be amused by his exasperated expression. Just then, Mrs. Kapoor unexpectedly intervenes, gently grasping YN's shoulder, and begins to spea ," Yn yeh tu kaisi ajeeb si baat kar rahi hai,ek toh bechare janav ke upar garam chai gir gayi uper se ab tu usey hi galat bata rahi hai , baar baar ek hi baat keh rahi hai ki janav ko apne upar chai ki cup girne dena nahi chahiye tha , arey toh, Janav ne jaan bujh kar apni marzi se thodi nah apne upar chai ki cup ko giraya tha voh toh jaise hi maine chai ki cup Janav ke haath mein di waise hi achanak se Janav ke haath thode ladkhada gaye aur chai ki cup ussey chut kar uske upar hi gir gayi ...

Janav*in his mind* - aunty ji mere haath achanak se nahi ladkhadaye the balki voh toh aapki beti ne yaha achanak se apni tasreef rakh kar mujhe ek sadme se bahre maahol mein daal diya tha aur itna hi nahi aunty ji isne toh mujhe sadme ke saath saath 440 volt ka jhatka bhi dey diya tha mere taraf wink karke, ab aap hi bataiye Aunty ji bhala itna kuch hone ke baad mere haath se voh chai ki cup kaise nahi chuthti...

Janav was thinking to himself, trying to clear his conscience, and it felt like he was also explaining himself to Mrs. Kapoor, justifying that he wasn't to blame for the hot tea spilling on him, but rather Yn, her own daughter, was the one responsible.

Aww bechare ki halat mujhse dekhi nahi ja rahi ๐Ÿคฃ๐Ÿคฃ๐Ÿคฃ..

Janav gazes at Mrs. Kapoor with an endearingly childlike expression, silently pleading with her to discern his thoughts.

In his mind, he's willing her to somehow sense his unspoken words and reprimand Yn.

But his reverie is short-lived, as Yn suddenly appears and shares something with Mrs. Kapoor, jolting Janav back to the present moment.

Yn - offo meri pyari maa ,main bhi toh wahi hi keh rahi hu ki agar Janav ji ne thoda sambhal kar chai ki cup ko pakda hota toh unki haath ladkhadati hi nahi aur unn se unke upar chai ki cup nahi girti, and maa mere kehne ka matlab yeh bilkul bhi nahi tha ki janav ji ne jaan bujh kar apne upar chai giraya tha ,* teasing tone* arey maa jaan bujh kar toh koi idiot bhi apne upar chai na giraye, fir bhala Mr..mera matlab Janav ji kyu girayege apne upar chai voh bhi garma garam...

She says this to her mother with a playful, teasing tone, accompanied by a sly side-eye glance at Janav, subtly provoking his irritation, secretly enjoying the subtle jab...

Hardik looks puzzled, scratches his head, and thinks to himself, confused by Yn's words," yn ki yeh baat mere dimag ke kuchh palle nahi pad rahi hai, matlab iski baat ko sun kar toh mujhe aisa lag raha hai jaise ki yeh janav ko idiot bol rahi ho voh bhi not so directly but not so indirectly bhi ,yeh yaha pichle ek ghante se kya ho Raha hai bhai mujhe kuch samajh hi nahi aa raha hai "

Meanwhile janav in his mind," aakhirkar iss aafat ki puriya ne mujhe sabke samne kisi na kisi tarike se idiot bol hi diya aur mujhe idiot bol khud ko sukoon wali feel karwa hi liya, *let out frustrated sigh* ahhh hey bhagwan kaisi yeh ladki hai jiske nakhre dekh mere sir mein ajab si sir dardi hai......

On the other hand yn again says to Mrs Kapoor and hearing her Janav once again come back to his real sense.

Yn - so maa ,itna toh mujhe bhi pata hai ki janav ji ne jaan bujh kar chai ki cup ko apne upar nahi giraya tha, balki voh toh janav ji ke laparwahi aur bina kisi saavdhani ke chai ki cup ko pakadne ki wajah se unhone apne upar chai gira li thi , like aap hamesha mujhse kehti ho na maa 'saavdhani hati durghatna ghati ' bilkul wahi mamla janav ji ke sath bhi hua tha ,janav ji ne chai ki cup ko pakadne time apni savdhani hatayi aur unke saath unke upar garama garam chai gir kar durghatna ghat gayi

Saying this,yn recalls the incident where Janav spilled hot tea on himself, shocked by her presence, and his comically stunned expression makes her burst out laughing.

Her laughter and teasing words reignite Janav's childish ire, his inner voice seething with annoyance.

Janav - waah aafat ki puriya waah ,log apne kisi favourite subject par PhD karte hai, lekin tumne toh apni ki huyi galti ko kisi dusre par kaise thopna hai iss par PhD ki huyi hai , lagta hai tumhara fav subject 'Blame game 'hai tabhi toh tum baar baar ghuma fira kar mujhe hi blame kiye ja rahi ho aur chudailo ki tarah hasey bhi jaa rahi ho.....

*Done face* and abhi thode der pehle kya kaha tumne aunty ji se ki mere sath 'saavdhani hati durghatna ghati' wala mamla hua hai so let me correct you miss aafat ki puriya ki mere saath asal mein 'tum se nazar mili aur durghatna ghati ' wala maamla hua hai aur yeh baat tum bhi achee tarike se jaanti ho...

Aur Janav hamari yn ko jaan kar anjaan banne ki aadat hai ๐Ÿ˜‚๐Ÿ˜‚๐Ÿ˜‚

Janav thinking all this while looks at Yn, who's still holding her stomach and laughing uncontrollably.

He's annoyed seeing Yn laugh so hard, feeling irritated, and at the same time, he senses that Yn is mocking him by laughing so hard...

Mrs. Kapoor, embarrassed by Yn's uncontrollable laughter, tries to calm her down, but Yn continues. Noticing Janav's irritation, Mrs. Kapoor scolds Yn gently but firmly.

Mrs Kapoor - bas Yn ab bahut ho Gaya yeh kya tu bina baat ke hasey ja rahi hai, voh bhi jor jor se , aur aakhir tujhe itni hasi aa kyu rahi hai tune yaha koi comedy scene dekh liya yaa fir koi chutkula sun liya kya ? jo tu aise bina ruke hasey ja rahi hai bata mujhe ??

Hearing Mrs. Kapoor's stern voice, Yn immediately stops laughing, becomes quiet and serious, and responds to Mrs. Kapoor.

Yn - nahi maa,aisi koi baat nahi hai voh toh main bas ..

Mrs Kapoor*intruppts her*- bas kya yn, bas kya?? Bas yahi na ki tu Janav ke apne upar garam chai girane ki wajah se aise has rahi thi , matlab bechare janav ne galti se apne upar chai kya gira li tu toh uska mazak hi banane lagi, bina yeh soche samjhe ki usey kitna bura lagega tujhe aise thahake markar hasta dekh

tujhe jara sa bhi andaja hai yn ki chai kitni jyada garam thi, janav ke haath ya paav jal sakte the voh toh bhagwan ka shukr hai ki janav ko jyada lagi nahi , warna khuda na khasta agar Voh chai ki cup tere upar giri hoti toh tu chilla chilla kar pura ghar sir mein utha leti , aur tere bhaiya and papa Ghar par jo bhag- dor karte voh alag

Mrs. Kapoor's stern words pierce Yn's heart, and she becomes subdued, lost in thought. She acknowledges her mother's point, regretting her uninhibited laughter.

Yn grasps that her actions, though unintentional, may have hurt Janav. Consumed by remorse, her expression turns sorrowful.

Janav, observing Yn's distress, feels a pang of discomfort, unsure why her pain affects him.

Janav's gaze lingers on Yn's downcast face, filling him with an inexplicable sense of sorrow.

Just then, Mrs. Mehra intervenes, addressing Mrs. Kapoor in her signature gentle tone.

Mrs mehra - himani ji yeh aap kaisi baat kar rahi hai yn se, bhala Yn ke upar chai kaise girti,dekhiye janav ke upar chai isliye giri thi kiyuki usne cup ko dhyan se sambhal kar nahi pakda tha magar Yn toh khud Janav ko sambhal kar cup pakadne ki salah dey rahi thi toh jaahir si baat hai voh khud bhi chai ki cup sambhal kar hi pakadti aur voh apne upar chai girne hi nahi deti

Hearing this Hardik* whisper himself*- lo kar lo baat yaha toh dono auntiyon ne jaise apni party hi badal li hai himani aunty ji janav ki tarafdari aur Preeti aunty ji yn ki tarafdari karne mein lagi huyi hai ek toh mujhe yeh samajh nahi aa raha ki yeh log janav ke upar chai girne ke ek chote se maamle ko itna bada gambhir mudda kyu bana rahe hai arey bhai ek chai hi toh thi jo galti se gir gayi janav se ab uss baat ko lekar yeh log itni charcha kyu kar rahe hai

Hardik quietly ponders to himself about the entire conversation, and as Mrs. Mehra finishes speaking, she says...

Mrs. Mehra- aur himani ji Yn abhi bacchi hi hai toh usne aise hi achanak has diya hoga baaki yn ka irada janav ka mazak udane ka bilkul bhi nahi hoga toh aap please hamari yn ko aise mat boliye

Hardik * again whisper himself* - arey baap re lagta hai aunty ji yn ko dekh kar bilkul usi tarah Mohit ho gayi hai jis tarah kal wali ladki vivaan ki photo ko dekh kar Mohit ho gayi thi ๐Ÿคฃ๐Ÿคฃ tabhi toh aunty ji Yn ko * emphasizing tone*hamari yn ,keh rahi hai..hmm lagta hai aunty ji ko unki bahu aur Janav ko uski du... arey sorry sorry uske brother ki Dulhan mil gayi....

Deep in contemplation, Hardik steals a glance at Janav,who sitting next to him, and is struck by his subdued demeanor.

The sight of Janav's fallen face prompts Hardik to ponder quietly...

Hardik*in his mind*- lai iska chehre utra hua kyu hai, arey bhai tujhe teri brother ki dulhan mil gayi hai toh ab tu kyu udaas hai ohh acha haa brother ki Dulhan milne ke sath sath Aunty ji ne bhi toh apni party badal kar yn ki side le li hai toh isiliye tune aisi bekar si shakal bana li hai par koi nah yaar teri party mein ab himani aunty ji hai voh jarur teri side legi....

Just as Hardik thinks this to himself, Mrs. Kapoor speaks up to Mrs. Mehra, saying," arey Preeti ji main isey bolu nahi toh aur kya karu, aapne dekha nahi yeh abhi kaise bina kisi wajah ke jor jor se hasi jaa rahi thi, aur aap nahi jaanti Preeti ji ki agar yn ek baar kisi baat par hasna shuru kar dey toh voh fir hasti hi chali jati hai iss baat ki parwah nahi karti ki samne wala ko uske lagatar hasne se bura lag sakta hai aur abhi thode der pehle Maine yeh dekha ki Yn ko aise hasta dekh janav ko thoda bura lag Raha tha , aur agar janav ki jagah yn rahti toh yn ko bhi bura lagta kyu yn bura lagta nah tujhe??

Mrs. Kapoor asks this, observing YN, who looks at her with a slightly dejected expression and nods subtly.

Mrs Kapoor - hmm jab tujhe bura lag sakta hai yn, toh janav ko bura lagna puri tarah se laazmi hai *motherly tone* dekh yn main yeh nahi keh rahi ki hasna galat baat hai magar kisi ke dil ko thes pahucha kar hasna galat baat hai yn, aur aaj tune wahi Kiya yn, janav jisne tujhe abhi thodi der pehle girne se bachaya tha tu usi par has rahi thi voh bhi iss liye kiyuki usne apne upar galti se garma garam chai gira li thi ,arey janav ne dhyan se chai ki cup ko nahi pakda tha isliye ussey chai gir gayi thi, magar tera dhyan kaha tha jo tu achanak khade khade hi girne wali thi..

Upon hearing this, YN falls completely silent and casts her gaze downward, for she feels a deep sense of regret and remorse for her mistake. Witnessing this poignant moment, Hardik ponders to himself," dekha bhai maine kaha tha na himani aunty ji teri hi side legi par teri side lene ke chakkar mein aunty ji yn ki achhi khatirdari kar rahi hai yaar bechari yn par hasna bhari pad gaya,now I feel bad for her "

Mrs Kapoor - Tujhe pata hai yn main kitna dar gayi thi tujhe girte dekh voh toh bhagwan ki kripa se Janav ne tujhe ain waqt par sambhal kar pakad liya nahi toh tujhe kitni chot lagti, Ek toh mujhe yeh baat ab tak samajh mein nahi aayi ki tu achanak girne kaise wali thi,tu toh Janav ke bagal mein khadi thi fir achanak aisa kya hua jo tu ekdum se girne wali hi thi

Tu toh abhi thode der pehle Janav ko sambhal kar chai ki cup pakadne ki salah dey rahi thi nah toh fir tu uss samay kis dhun mein khadi thi jab tu girne wali thi aur janav ne tujhe jaldi se sambhal kar pakad liya tha..

Mrs. Kapoor hints to YN that mistakes happen, implying Janav's tea spill was an accident, not negligence.

YN falls silent, feeling guilty for teasing Janav, and realizes her sudden arrival caused the tea spill.

Memories of their first meeting resurface, where Janav comforted her when she was crying so now she's saddened by how she repaid his kindness with frustration today.

Meanwhile, Janav notices YN's gloomy expression and feels uneasy, pained by her obvious distress. He's lost in thought, gazing at her, when Mrs. Kapoor speaks up again.

Mrs Kapoor - kya hua yn tu chup kyu hai?? Bata mujhe tu achanak se kaise girne wali thi

Just as Janav is about to speak up after hearing Mrs. Kapoor's words, Ramu Kaka suddenly intervenes, interrupting Mrs. Kapoor.

Ramu kaka - arey bitiya asal mein yn bitiya meri wajah se girne wali thi

Hearing this everyone gets confused and yn looking towards Ramu kaka and Ramu kaka sees her face and says to everyone..

Ramu kaka- voh darasal jab main kitchen se aap sab ke liye sharbat lekar yaha aa raha tha tab Mera pura dhyan sharbat ki plat par tha taaki sharbat gire na kiyuki yn bitiya ke janamdin wale din mera chashma mujhse tut gaya tha toh mujhe chize achii tarah se dikh nahi Rahi thi iss wajah se maine samne khade yn bitiya ko dekha nahi aur mere kandhe se yn bitiya ko achanak dhakka lag gaya aur yn bitiya dugmaga kar girne lagi voh toh acha hua ki janav bete ne samay rehte hi Yn ko pakad liya aur usey girne se bacha liya nahi toh aaj meri wajah se yn bitiya ko kitni chot lag jati

Ramu Kaka speaks with a mix of sadness and guilt, looking at YN, who notices his distress. As she's about to respond, Ramu Kaka turns to Mrs. Kapoor and speaks up.

Ramu Kaka- toh himani bitiya tum ab yn bitiya ko meri wajah se daato nahi, galti sara - sari meri thi , mujhe dekh kar kaam karna chahiye tha , mere Karan aap sab ko itna pareshan hona pada, uske liye main aap sab se maafi chahta hu* joining his hands looking towards yn* yn bitiya mujhe maaf kar do meri wajah se hi tum girte girte bachi...

Next, Ramu Kaka is about to say something more to YN, but she quickly grasps his hand and speaks to him in a very humble and soft tone.

Yn - arey Ramu kaka yeh aap kya kar rahe hai, mere samne apne haath jod rahe hai , aap shayad bhul rahe hai kaka ki aapke yeh haath mere samne sirf mujhe apna aashirwad dene ke liye uthna chahiye aise maafi mangne ke liye nahi samjhe aap ??

YN adorably scolds Ramu Kaka, hurt that he apologized to her.

She's always revered him as family, not just a servant, and speaks to him with heartfelt respect.

The Mehras are delighted by YN's charming interaction with Ramu Kaka.

Janav is thrilled by YN's kindness, his heart skips a beat, and he listens attentively as YN continues speaking to Ramu Kaka.

Yn - aur kaka main aapke wajah se bilkul bhi nahi giri thi toh aap baar baar yeh kehna aur sochna band kijiye ki main aapki wajah se giri thi, main aa

Ramu kaka - lekin yn biti..ya..

Yn*intruppts him+cutely strict tone*- lekin - wekin kuch nahi kaka , maine aapse keh diya nah ki main aapke wajah se nahi giri toh bas nahi giri thi*adorably cute tone* aur mere pyare ramu kaka main aapko aapki jaankari ke liye yeh baat bata du ki main aapke kandhe se dhakke lagne ke kaaran nahi balki apne hi soch ke chakke tez dodane ke karan girne wali thi

Ramu kaka- kya

You are reading the story above: TeenFic.Net