Tere ishq ki mujhko aadat hai...

Background color
Font
Font size
Line height



Raat ke andhere me bhi har cheez ko roshan karta chamakta chand aur zameen per bethe woh do sitare. Woh dono kafi der se khamoshi se balcony me pare jhoole per bethe aasman ko dekh rahe the. Ahil ka ek baazu Hoorain ki kamar ke paas hayal tha aur dusre haath me usne chai ka cup pakar rakha tha. Hoorain bhi apna sar Ahil ke kandhe per rakhe hue thi.

"Baat kya he?"

Ahil ne apne haath narmi se Hoorain ki kamar per pher kar use apni taraf mutawajjah kiya tha.
Hoorain ne chonk kar halka sa chehra utha kar use dekha tha.

"Aise mat dekho mujhe aur humare beech teh hue rule ko yaad karo. Hum apni feelings pareshani har chees ek dusre ko bataen ge chahe usse kuch bhi ho"

"Sab pata chal to jaata he aap ko"

Hoorain ne apna sar phir use kandhe per tikaa diya.

"Sunday ke function ko le kar pareshan ho?"

Ahil ne narmi se pucha to Hoorain ne apna chehra uski gardan ke kareeb kiya aur halka sar asbaat me hilaya.

"Hoor Adeel ki shadi hai tum nahi jao gi to acha nahi lage ga"

Ahil ne kaha to Hoorain usi tarah dheemi awaaz me boli.

"Lekin Ahil wahan woh bhi hon gi..."

Woh ab apni maa ka naam nahi liya karti thi. Maa to woh uski thi lekin shayad usse ab unhe us naam se pukara nahi jata tha.
Khaas kar ab jab woh khud do bacho ki maa thi jab woh jaanti thi ke ek maa ki feeling apne bachey ko le kar kya hoti hain. Khuda jaane uski maa me maamta thi bhi ke nahi....

"Bohat saal ho gae hen ab Hoor unho ne bohat baar tumse milne ki soshish bhi ki lekin tum unse nahi mili...maine bhi kuch nahi kaha kyun ke shayad ek maa hoo ke jo unho ne kiya tha uske baad tumhe time chahiye tha. Aur naa hi main ab kehta hun ke tum sab normal kar lo lekin life sab kuch le kar chalna parta hai Hoorain jab tak hum har mushkil ka samna nahi karen ge aage nahi bar parn ge. Aur jab tumhare saath main hun aur humare do bachey hen jo ke meri tarah bohat pyaare hen. Tumhe kisi bhi chees se ghabrane Ki zaroorat hai kya?"

Ahil ne use dekh kar kaha jo ke apni chin uske kandhe per rakhe use dekh rahi thi aur uski end wali baat per muskura rahi thi.

"Aap mere saath hain?"

"Marte dam tak..."

Usne ahista se apni Hoor ka maatha chuma tha aur wahin ankhe band kar ke kuch der jese theher sa gaya. Shayad woh us lamhe ko mehsoos kar raha tha ya phir apni zindagi ko jo ke uski baahon me thi.

____________

Subha pardo ke beech se parti roshni ne Hoorain Ahil Raza ki neend ko kharab kiya tha jis per usne apni ankhe ragri aur apne saath apne shohar ki side per haath maar kar boli.

"Ahil parda band kar den please...!"

Lekin jab uska haath apne shohar per nahi laga to usne halki si ankhe kholin aur apne side wali khaali jagah ko dekha aur ankhe band kar lin. Uska shohar aur uski subha ki workout ki aadat.
Usne usi tarah ankho ko ragarte hue samne latki ghari se time dekha aur foran bed se uth gayi.
Aaj Sunday tha 10 bajne wale the aur ab tak sab uth jaate the lekin uska dar kuch aur tha agar uske pyaare husband kitchen me hue to woh kya kare gi!

Woh foran uthi aur apne night suit me hi bahir nikli. Jab woh kitchen me ayi to Wahan Amelia thi. Usne kitchen ki sahi haalat per shukar adaa liya aur Amelia se mukhatib hui.

"Good morning Amelia"

Usne kaha to Amelia ne use dekh ke muskura kar jawab diya. In kuch saalo me woh bhi kuch aur burih lagne lagi thi.

"Good morning!"

"Ahil kahan he?"

"Woh workout kar rahe hain."

Usne kaha to woh Amelia ko nashta na banane ka keh ker kitchen se nikal gayi thi.
Sunday aur Saturday ko teeno time ka khaana woh khud banati thi jo ke ziyada tar full desi nashta hota tha. Aalu ke parathe naan chane aur najane kya kya.

Woh chalti hui basement me ayi jahan Ahil ne apne liye ek jym banaya hua tha. Abhi unhe apne us apartment se is naye aur shaandar ghar me aye kuch hi mah hue the. Aliha ki pedaish ke baad Se hi Ahil ne naya khula ghar dhoond na shuru kar diya tha lekin apni pasand ka ghar banwate hue use der saal lag gaya tha.

"46...47...."

Woh seeriyan utar rahi thi jab use yeh awaazen ayi thi uske chehre per herani aur halki si muskurahat ayi. Woh ahista se ayi aur wahan khari hui to uske samne jo manzar tha woh uske chehre ki halki muskurahat ko bari karne ke liye kafi tha. Ahil push-ups kar raha tha aur uski kamar per 4 saala Haadi aur 2 saala Aliha the jo ke apne baap ki kamar per bethe khushi se machal rahe the.
Aur Ahil yaqeenan ab thak chuka tha.

"48....49...5...ahhhhh!!"

Ahil yak dam karha kar zameen per gir para tha.

"50!!!"

Hoorain ne masoomi se kaha to Ahil ne khud ko zameen per hi seedha kiya aur apne do bacho aur unki maa ko dekha jo ke unse bhi bari bachi lag rahi thi abhi.

"Apne ek laute shohar ko maarne ka irada he to pehle hi bata den Begam sahiba?"

Ahil ne seene pe haath rakh ke gehte saans lete hue kaha tha.
Aur apne baap ki himayat me Haadi Ahil Raza bola tha.

"Mama baba ko chout lag sakti thi!"

Hoorain ne Haadi ko dekha phir Ahil ko jo ke ab thora sa uth kar Haadi ke kareeb ho kar masoom shakal bana kar sar ko hila raha tha. Hoorain ne mu ko khota aur use ghoora.

"Beta mujhe nahi pata tha aap ke baba itne nazuk hain"

Hoorain ne tanziya muskurahat le kar kaha tha. Aur Ahil ne abru uchkae the.

"Haadi mujhe bhi nahi pata tha ke aap ki mama itni jangli hain"

Usne Haadi ke chote se kandhe per apni thosi rakhi to Haadi hansne laga.

"Baba your beard is tickling me!"

Usne peeche hote hue kaha to Ahil ne shararti muskurahat liye use dekha aur bola.

"Really..?"

Usne Haadi ko pakra aur uske chehre per apne chehra lagaya.

Woh dono whain zameen per laite hanste gaye the aur dusri side per bethi Hoorain bhi unhe dekh kar hasne lagi aur uske side per bethi Aliha bhi apna baba aur bhai ke kareeb chali gai thi.
Hoorain unhe dekh ke wahin bethi muskurati rahi aur jaise use kuch saal pehle ki kuch yaadon ne ghera tha aur woh khud ko unke hawale kar chuki thi.

Yeh kuch saal pehle ki baat thi jab un dono ke dil khamoshi se ek dusre ke naam hone lage the.
Woh ek jumme ke din ki baat thi.
Raat ke 12 baj rahe the aur Ahil ka koi ata para nahi tha Hoorain use bohat baar call bhi kar chuki thi lekin woh uski call bhi nahi utha raha tha. Hoorain apne lounge me pare couch per beth kar book par rahi thi lekin woh University se aane ke baad shadeed thaki hui thi jis wajah se woh apni ankhe khuli nahi rakh paa rahi thi. Shayad kafi time ho chuka tha jab ghar main door khula tha aur Ahil ahista se andar aya tha woh jaanta tha Hoorain soyi nahi ho gi lekin phir bhi aaj woh use call karne ka time nahi nikal paya tha aur woh yeh bhi jaanta tha ke ab uske saathkya hone wala tha.

Woh ahista se chalta hua lounge me aya to usne Hoorain ko couch per hi bethe bethe soye hue dekha. Ek haath me book thi jo ke neeche latak raha tha aur baal uske chehre per aa rahe the.
Woh wahin tuk kar use dekhne laga chehre per aane wli muskurahat ko to woh chaa kar bhi nahi rouk sakta tha.
Kuch kadam chalta hua woh uske kareeb aya aur jhuk kar uske chehre per parte baalon ko hataya.

Ab woh maanta tha balke maan ne per majboor tha ke use is larki se bepannaah mohabbat thi. Bas wohi khouf tha jisne rouka hua tha izhaar karne se lekin shayad ab bohat waqt ho chuka tha ab waqt nahi tha darne ka jab woh jaanta tha ke woh larki bhi usse utni hi mohabbat karti thi jab woh uski ankho ke bhi woh pyaar dekh sakta tha aur jaanta tha ke woh uske izhaar ke intezar me thi.

Ahil halka sa jhuka aur use apne mazboot baazuon me utha liya.
Apni Hoor ki pakki neend se to woh waqif tha lekin uske ab bhi na uthne per use hasi ayi thi.

Ahil ki Hoor aur uski neend!

Woh apne kamre me aya to araam se use bed per laitaya aur uthne laga to usne dekha ke uski shirt Hoorain ki muthi me thi woh muskuraya aur wahin us thori si jagah per lait gaya aur Hoorain ke maathe ko halka sa chooma.

"Bas...ab isse ziyada khamosh nahi rahun ga Hoor kuch din aur bas..."

Usne ahista se sargoshi ki thi. Ab usne faisla kar liya tha ke woh use sab bata de ga. Kuch din me Maaz aur Anisah ki shaadi thi aur usse pehle use apni business meeting per jaana tha bas wahan se aa kar woh kuch aisa kare ga ke Hoorain aur uske liye woh din beyhad yaadgar rahe ga.

Agle din subha jab Hoorain uthi to woh khud ko bed per dekh kar ziyada heran nahi hui thi lekin khaali bed dekh ke zaroor hui thi.
Woh bed se nikli aur bathroom ke bahir gayi lekin wahan koi nahi tha phir woh bahir ayi to use wahan bhi woh shaks nazar naa aya tha jise woh kal se dekhne ke liye betaab thi.

Woh kitchen me ayi to Amelia wahin thi aur usne ek note use diya tha jo ke teh hua hua tha.
Usne Amelia se liya aur apne kamre me aa kar use khola.

Good morning begum!

Ek zaroori meeting ke liye mujhe Paris jaana par gaya he I'm sorry main tumhe bata nahi paya naa hi kal raat mouka mila naa hi subha.
Pata nahi he kitna time lage ga lekin main puri koshish karun ga Maaz aur Anisah ke Nikah se pehle aane ki.

Aap ka masoom shohar

Usne note ko takriban phaarne ke liye upar kiya tha lekin phir khuf ko rouka aur ankhe bheench kar gehra saans liya.

"Main so rahi thi ya mar gai thi?!"

Woh khud hi booli aur apna phone utha kar josh me Ahil ka number milane lagi phir yak dam ruki aur socha.

Jab woh use batana zaroori nahi samjhta use khud call nahi kar sakta to woh kyun kare?

Usne phone ko band kar ke bed ki dusri side per maara aur khud bhi lait gayi aur apne daanto ko nakhno ke beech kutarne lagi.

Poora din woh isi besakooni me rahi thi halake Maaz Anisah aur Adeel use bahir lejane aye the aur woh sab khaana khaane gaye the uske bawajood bhi dil ajeeb hi tha. Aur woh wajah bohat ache se jaanti thi wohi shaks is besakooni ki wajah tha jo ke uska shohar tha aur uski zindagi ka sab se zaroori hissa ya shayad woh khud hi uski zindagi banta jaa raha tha.
Woh pura din baar baar phone dekhti rahi thi. Kya ek call karna itna mushkil tha? Kya woh use bata nahi sakta tha ke woh theek he ya nahi?

Woh sab khaana khaa kar wapis jaa rahe the aur gaari me the jab Hoorain ka phone baja tha usne screen per chamakte naam ko dekh kar ek gehra aur sakoon ka sans liya.

"Koun he Hoorain?"

Saath bethi Anisah ne pucha to Hoorain boli.

"Ahil hain"

"To utha kyun nahi rahi?"

Is dafa Maaz bola tha.

"Main...soch rahi thi ghar pinch ke karun..!"

Hoorain ne kaha to Anisah ne halki si kooni maar kar use muskura kar kaha.

"Theek he bachu hume pata hai I love you kehna ho ga koi nahi!"

Usne kaha to hooku ankhe bahir aane wali ho gai thi aur frontseat per bethe Adeel ne apni side change ki thi.

"Shut up Anisah"

Hoorain ne keh kar uske baazu per ek thappar maara.

Woh hans ne lagi.

"Sharam karo dulhan hun main!"

Woh fhar pincgi aur usne apna phone dubara check kiya tha.
Wahan ek aur missed call ayi hui thi aur is baar Hoorain ne halka sa muskura kar woh number milaya.

"Kya he?"

"Walaikum assalaam"

Ahil ki aage se wohi roub daar awaaz jisme sirf uske liye narmi aya karti thi.

"Kis liye call ki hai?"

Hoorain ne phir gusse se pucha tha.

"Main theek hun tum kesi ho?"

Ahil usi tarah ulta bola to Hoorain ne gusse se kahaa

"Maine aap ka haal pucha kab!?"

"Tumne nahi pucha is liye khud bata raha hun lagta hai tumhari itni parhai ka koi faida nahi hua."

Usne use cherne ke liye kaha to Hoorain sach ke tap gayi.

"Aap se behtar hun main har lehaz se! Mujhe pata he ke kyaa baat kaise karni wali hai."

Woh boli to Ahil ne maathe per kuch bal aye.

"Maine konsi baat galat ki hai?"

"Yehi to masla hai aap sahi to kya kuch galat bhi kehna pasand nahi karte!"

Woh boli to Ahil ne halka sa sar jhatka.

"To aap kya sunna chahti hain?"

Usne kaha to Hoorain khamosh hui aur mu khola aur phir band kar liya.

"Mujhe aap se baat hi nahi karni"

Hoorain ne kuch bhi sune bagair phone rakh diya tha aur apni ankhe band kar ke wahin bethi rahi. Pata nahi woh ajeeb thi ya phir Ahil. Ba syeh baat pakki thi ke woh dono hi bohat zor se gir chuke the ek dusre ki mohabbat me....

________

"Hoorain beta idhar ao!"

Hoorain kal se Anisah ke ghar me thi aur aaj uski dholki thi uske chehre ki udaasi kisi se chupi to nahi thi lekin phir bhi woh apni puri koshish kar rahi thi.

"Jee Auntie?"

Woh lounge me ayi to wahan Anisah ki kuch purani dosten aur jaan ne wale kareebi family friends the aur sab larkiyan wahn bethi mehendi lagwa rahi thin.

"Beta tumne mehendi nahi lagwani?"

Anisah ki ammi ne use kaha to unke saath bethi Hoorain ki ammi ne bhi muskura kar use dekha.

"Auntie mujhe ziyada shouk nahi hai.."

"Arrey beta larkion ko to waise bhi yeh sab itna pasand hota hai tumhe nahi hai?"

Anisah ki Ammi ne kaha to Hoorain phir kuch kehne lagi lekin usse pehle Sadia boli thi.

"Meri jaan lagwa lo na? Auntie itna keh rahi hain..!"

Woh bolin to Hoorain phir kuch bolne lagi jab uske kaano me ek awaaz gunji.

"Tum mehendi kyun nahi lagati Hoor?"

"Mujhe nahi pasand!"

"Lekin mujhe pasand hai..!"

Hoorain ke chehre per halki si narmi ayi aur usne khamoshi se sar hilay aur Anisah ke pas jaa kar beth gayi aur uske saath apne haath per mehendi lagwane lagi.

"Anisah itni mehendi maine apni shadi per nahi lagwai thi jitni tumne mujhe aaj laga di hai!"

Woh Anisah ke saath uske kamre me bethi thi aur apne baal peeche karne ki nakaam koshish kar rahi thi aur uske saath bethi Anisah khud apne haath upar neeche kar ke apni mehendi sukhane ki koshish kar rahi thi.

"Kya he yar ab laga li hai to sakoon karo mera dimag to mat khao aur wais ebhi tumhare unho dekh ke bohat khush hon ge!"

Usne muskura kar kaha to Hoorain ne ankhe ghumai.

"Tum apna socho beta Nikah tumhara he mera nahi"

"Woh to parso hi yar tum kal ki dholki ka socho! Waise Ahil bhai abhi tak nahi aye? Unho ne nahi aana kya mere Nikah per?"

Anisah ne mu bana ke pucha to Hoorain ki ankho me udaasi ayi.

"Jaa ke khud pucho...apne Ahil bhai se.."

Usne apne haath ki taraf dekhte hue kaha tha. Tabhi Anisah ke kamre ka darwaza khatka tha aur thora sa darwaza khol kar Shehryar aya tha.

"Bhai aap abhi tak nahi soye?"

Usne heran go ke pucha tha kyun ke 12 bajne wale the aur baki sab so chuke the.

"Nahi mujhe kuch baat karni thi zara mere kamre tak ao gi?"

"Bhai Kheriyat?"

Anisah ne bed se uthte hue pucha tha aur Shehryar ne halka sa sar hilaya aur Hoorain ko muskura kar dekha.

"Bhabhi aap theek hain?"

Woh un kam logon me se tha jo use bhabhi kehta tha!

"Jee bhai main theek hun"

Hoorain ne bhi halki muskurahat ke saath jawaab diya tha.
Anisah aur Shehryar bahir chale gaye the aur woh usi udaas ankho ke saath apni mehendi ko dekhte hue us shaks ka sochne lagi jiske liye yeh sab usne kiya tha.
Bed ki back se sar tikaye woh ankhe band kar ke wahin bethi rahi jab use darwaza khulne ki awaaz ayi thi usne ankhe kholke nahi dekha tha use laga tha ke Anisah ho gi lekin tabhi use usi jaani pehchani khushbu ne apne hisaar me le liya tha.
Woh ab bhi ankhe band kiye wahin bethi rahi thi use mehsoos ho raha tha ke woh kadam ahista ahista uski taraf bhar rahe the.
Aur phir jab use ahista se apne maathe per uska jhuka chehra mehsoos hua to ek muskurahat khud ba khud uske chehre per ubhri thi aur andar tak ek sakoon alag utra tha.
Uske ankhe kholne se pehle hi woh uske un mazboot maazuon me thi aur tab bhi usne apni ankhe kholne ke bajae apna sar bas uske kandhe se tika diya tha.
Woh usse naraz thi aur itni jaldi use nahi maan na tha abhi!

Usne use araam se gari ki seat per bithaya tha aur Hoorain tab bhi apni ankhe band kiye bethi rahi thi. Pura raasta khamoshi se guzra tha aur Hoorain waqtan fa waqtan apne per parti nazre mehsoos kar sakti thi shayad woh wahid nazre thi jinhe woh kisi bheer me bhi pehchan sakti thi.
Woh jab apne building ki parking area me ponche tab bhi Hoorain ne apni ankhe nahi kholi thi Ahil kuch der use dekhta raha tha lekin use samjh aa gai thi ke uski begam ka abh bhi yeh natak karne ka plan tha to woh kon hota tha uski is acting ke beech me aane wala.
Woh araam se apni side se utra aur uski side ka darwaza khol ke ahista se magar bohat hi asani se use uthaya jaise woh koi mom ki guriya ho.
Ghar ka darwaza khol kar woh andar aya aur apne kamre me jaa ke ehtiyaat se use bed per laitaya aur kuch der usi tarah jhuke hue uske chehre ko dekhta raha woh itni khubsoorat thi ke use dekhne se uska dil bharta hi nahi tha.
Phir araam se uth ke woh apne kapre change karne chala gaya tha. Aur apni biwi ko is naatak ka aur thora waqt de diya tha jab Ahil ne bathroom ka darwaza band kiya to Hoorain ne ankhe khol kar chat ko dekha aur bar barai.

"Insan check hi kar leta he ke sach me soyi hui hun ke nahi ya utha kar baat hi kr leta hai! Lekin nahi bhai yeh kyun karen ge."

Tabhi bathroom ka darwaza khula tha aur Hoorain ne foran apni ankhe band kin thi. Ahil ne use wahan se dekha aur apni hasi bamushkil rouki aur ahista se chalta hua aya aur bed me lait kar woh uski taraf dekhta raha jab kuch waqt guzra to Hoorain apni side change ki hai dusri taraf mu kar ke uski taraf apni peeth kar li thi aur ab woh uska chehra nahi dekh pa raha tha.

Ahil ki ziddi Hoor!

Ahil ne ahista se use kamar se pakar ke apne kareeb kiya thora sa aage ho kar uske gaal ko chuma.

"Abhi bhi gussa nahi gaya..?"

Usne ahista sargoshi ki aur Hoorain ke chehre ko dekha ji ab bhi betassur tha.
Woh ek aur dafa jhuka aur is baar uski ankh pe bosa diya.

"I'm sorry.."

Is dafa woh uske naak pe jhuka tha aur Hoorain ki ankhe ahista se khulin thi aur woh puri uski taraf muri.

"Pure 4 din Ahil...aap ko mera khayal bhi nahi aya?"

Usne itni masoomi se kaha ke Ahil ko laga uska dil phir se uske seene se nikal gaya ho.

"Mujhe idea nahu tha Hoor tum itna disturb ho jao gi bas kaam bohat zaroori tha is liye jaana para..aur pichle kuch dino se to tum waise hi meri call nahi le rahi thi.."

Usne becharo wali shakal bana kar apni begam se humdardi hasil karna chaha jisme woh bohat buri tarah nakaam hua tha.

"Koi bahana banaa hi rahe hain to dhang ka banaen"

Usne kaha to Ahil halka sa hansa aur uske sar ko chuma.

"Jo aap ka hukam begam sahiba."

"Door rahen! Maaf nahi kiya maine abhi"

Usne uske seene per haath rakh ke door karna chaha lekin Ahil Raza bhi itni jaldi haar maan ne wala to tha nahi.

"Theek hai main phir chala jaun?"

"Dhamki de rahe hain?"

Hoorain ne use challenge karne wale andaaz me kaha to Ahil ne thook nigla.

"N..nahi main to bas pooch raha tha..?"

Usne Kaha to Hoorain halka sa muskurai aur uske baazu per sar rakh ke ankhe band kar lin.

"Jaa kar dikhaen"

Ahil halka sa has diya aur apne dono baazu dubara mazbooti se uske aas paas hayal kar diye.

"Waise naaraz hone ke bawajood mere liye mehendi lagana nahi bhoolin aap"

Usne usi tarah kaha to Hoorain ne ankhe kholin aur usi tarah apna chehra thora sa peeche kar ke boli.

"Aap ko kisne kaha ke aap ke liye lagai he maine?"

Usne kaha to tha lekin Hoorain Ahil Raza ko aaj bhi jhoot bolna nahi aata tha.

"Kyun ke mujhe yaad he Begam sahiba ke aap ko mehendi nahi pasand!"

"Meri pasand badal bhi to sakti hai?"

"Bilkul! Apne shohar ke liye thori bohat pasand badal leni chahiye"

Ahil ne jaan pooch ke use cherne ke liye kaha tha. Hoorain ne use ghoorne ki koshish ki thi lekin end me woh apni hasi rouk

You are reading the story above: TeenFic.Net