Ahil us hi jaga jam gaya tha.
Kuch samajh nahi aa raha tha.
Dusri taraf bhi ek gehra sannata tha aur kuch der baad us khamoshi ko arisha ki siskio ne tora tha. Aur Ahil ko aisa laga jese use kisi ne kandho se pakar ke jhan jhora ho. Ye wohi siskiyan thi jinho ne use Pakistan se apne ghar se apne sab pyare rishto se door aane pe majhboor kiya tha.
"Bhai aap ko lagta hai main bachi hun main itni bhi choti nahi hun samajhti hun sab baato ko. Teen saal pehle bhi samajhti thi aur aaj bhi samajhti hun. Aap apne aapko un gunaho ki saza de rahe hen jo aapne kabhi kiye hi nahi bhai.
Main ye nahi jaanti aap ne kya soch kar yeh fesla liya tha.
Lekin aap ne khud ko saza dete dete apne, mujhe danish bhai hum sabko saza de dali bhai. Humsab ko......."
Kya kehta woh. Kuch nahi tha kehne ko. Ankho me se kuch gir kar uske galo par aya tha.
"B-bhai please wapis aa jaen? Mujhe is birthday mera bhai louta den?"
Arisha ne itna keh kar phone rakh diya.
Ahil ne ab tak phone ko apne kaan ke saath lagaya hua tha.
Woh wahi par ek mujasme ki tarah betha hua tha.
Kitne sare ehsasaat ek saath us par waar kar rahe the.
Dukh. Nadamat. Sharmindagi. Bebassi. Gussa.
In sab ko ek saath mehsoos kar raha tha woh. Arisha ki us tooti hui awaaz ne use dukh diya. Sharmindagi apne us overconfidence per. Bebasi thi na chahte hue bhi apno ki takleef ka baais ban ne par. Aur gussa har cheez har baat per.
Pata nahi kab tak us hi tara betha raha tha. Koi faraq nahi parta tha.
Subha ki roshni ne apni jhalak dikhana shuru ki thi.
Kesi baat he insaan ke chahne se bhi koi duniya ka nizaam nahi rukta. Beshak ek shakhs ki zindagi me andhere ke siwa kuch na ho phir bhi subha to hoti hi he.
Humare chahne se ya na chahne se koi cheez nahi rukti.
Shayad is hi liye Allah ne ye nizaam banaya he. Duniya ka esa nizaam jo ke ek gam aur andhere se gire pare insaan ko bhi usse nikal kar us duniya me masroof hone ke liye majboor kar de.
____________
Ek hafta guzar gaya tha.
Aur aaj 28th thi.
Arisha baraamde me udaas bethi hui thi. Ek hafte me kisi ki bhi baat nahi hui thi Ahil se. na hi usne phone kiya.
Arisha ko to jese yaqeen ho gaya tha ke usne apna bhai khoo diya.
Phir se.
Wo apne hi khayaalo me gum thi jab uske saath wali kursi per koi aa kar behta tha.
"Khana nahi khana beta?"
Danish ne pyar se pucha tha.
"Nahi. Bhook nahi he."
Usne danish ki taraf dekhe bagair jawaab diya tha. Apni nam ankhe chupa ne ki koshish kar rahi thi woh.
"Waise to tumhe har das minute baad bhook lag jati he. Birthday ki khushi me khana chordiya he kya?"
Usne muskurate hue pucha tha.
"Meri birthday itni bhi special nahi jiski khushi manau"
"Arrey ye kisne kaha? Tumhari birthday to humsab ke liye bohat special he."
"Shayad sirf aap ke liye hi he. Ahil bhai ko to shayad faraq bhi nahi parta."
Arisha ab sach me ro pari thi.
Danish ne apni kursi uske paas ki aur uska haath apne haatho me liya tha.
"Arisha beta istarah nahi kehte. Aap jaanti ho na Ahil tumse kitana pyaar karta he? Shayad mujhse bhi ziyada.! Bas kaam ki wajah se.."
"Bhai ye aap bhi jaante he aur main bhi ke koi kaam ki baat nahi he. Bhai humsab se bhaag rahe he."
Danish ne kuch nahi kaha kuch tha hi nahi kehne ko.
Usne Arisha ke chehre se ansu saaf kiye the.
"Chalo bas ab rona nahi. Dekho 12 baj ne me sirf das minutes reh gaye he. Chalo andar cake nahi kaatna? Tumhari Bhabi ne khud banaya he"
Usne muskurate hue kaha aur Arisha ka haath khenchta hua use andar le gaya.
Sania ne cake ready kar liya tha aur dining room ko bhi ache se saja diya tha.
"Kaha reh gaye the aap log ? Sirf teen minute reh gaye he jaldi ayen!"
Sania bohat khush thi.
"Nayal so gaya ?"
"Han thori der pehle hi soya he. Zid kar raha tha ke phupho ki birthday main bhi celebrate karu ga. Lekin usse jaga hi nahi gaya."
Arisha ye sun kar hasne lagi. Nayal Danish aur Sania ka teen saal ka beta tha. Jo Arisha ke bohat kareeb tha.
Woh sab table ke paas aa kar khare hue the jab bahir bell baji thi.
"Is waqt kon he?"
"Pata nahi. Guard dekh le ga."
Danish bola tha.
Kuch hi second baad un sab ne ghar ka darwaza khulne ki awaaz suni aur sab pareshan ho gaye ke raat ke is wakt guard ne kise andar ghusne diya.
Aur kuch hi der me woh ghar me ghusne wala shaks un ke samne tha.
Koi bhi apni jaga se hil nahi paya.
Sab ko aisa lag raha tha jese un ke peron par zanjeere par gai ho.
Kon yaqeen kar sakta tha ke unke samne Ahil khara he.
Teen saal.
Wohi patla chehra wohi gehri bari ankhe. Wohi uncha kad aur chore kandhe.
Bazahir sab kuch wesa hi tha. Lekin bohat kuch badla hua tha.
Sabse pehle apni jaga se hilne wali Arisha thi. Woh ro rahi thi. Saath hi saath muskurahat bhi thi.
Seeda chalti Ahil ke saamne aagai.
"Bhai ....."
Ahil ne bhi apne sakht chehre ko thora naram kiya. Aur muskuraya.
Arisha Ahil ke saath lipat kar ro ne lagi. Ahil ne uske sar par pyar kiya tha.
"Happy birthday Arisha"
Ahista si sargoshi ki thi.
Aur sab has pare.
_______________
Aaj Qureshi residence me bohat hi ajeeb baat hui thi. Sab ek saath khane ki table per mojood the. Aur ye koi mamool ki baat nahi thi.
Zada tar Hoorain aur Azeem sahab akele khate the. Ahmad aur uski biwi bache to alag khana hi pasand karte the.
Table per chamcho ki awaaz ke ilawa kuch nahi tha.
"Hoorain university kab start ho gi?"
Us khamoshi ko Azeem sahab ne tora tha.
"Abhi do hafte hen dadu."
"Acha. Mujhe yaad aya tumhe paise chahiye hon ge na shopping ke liye?"
"Shopping kis cheez ki?"
"Arrey beta apni saheli ke nikah per kapre nahi lene?"
Hasbe mamool wo dono apni aam baaten kar rahe the. Bas faraq itna tha ke aaj waha per baki ghar wale bhi the aur shayad dada poti ka yeh dosti aur pyar kisi ko khaas pasand nahi aya tha.
"Abba ji apke do aur bhi pota poti he unse bhi baat karliya kare?"
Ahmad ki zubaan pe ilfaaz Fazilat ke hua karte the.
"Puttar mujhe pata he mere do pata poti aur he. Lekin shayad unka koi dada nahi he.
Main unse kya puchu jinhe aaj tak dada ke kamre me ane ki tofeek nahi hui. Jine aaj tak dada ki duaon ki zaroorat mehsoos nahi hui."
Itni izzat afzai kafi thi shayad Ahmad ke liye bhi aur uske biwi bacho ke liye bhi.
Azeem sahab ne pursakoon chehre ke saath apna mu saaf kiya tha aur uth gaye the.
"Shukar alhumdulilah. Hoorain beta ab ek ek cup coffee ho jae?"
Unho ne muskura kar pucha tha.
"Jee dadu abhi lati hun"
"Pehle apna khana khao araam se phir bana lena"
Uske sar par haath pher kar waha se chale gaye the.
Najane kitne logo ka dil jala hua tha wahan per. Uske fori baad hi Ahmad bhi waha se chala gaya.
"Haan bhai mujhe aur mere bacho ko ye drame bazi nahi ati na is liye hum to sabko bure hi lagte hen. Humare dil me jo hota he wohi humari zubaan par hota he. Humse nahi hoti ye munafikat."
Fazilat ne waha par bethkar Hoorain ko tana mara tha.
Hoorain ke liye koi nayi baat nahi thi ye. Wo araam se uthi aur apne bartan samait ti hui boli.
"Waise mera khayal he jo drame bazi agle bande ko khushi de wo itni buri nahi hoti aur agar yeh munafikat hai to aisi munafikat to mujhe dil o jaan se kabool he."
Usne halki muskurahat liye Fazilat ki ankho me ankhe dal kar bola tha. Hoorain Ahmad lehaaz aur adab zroor karti thi lekin kamzor to wo harkiz nahi thi.
Apne dada dadi ki tarbiyat pe koi ungli na uthaye is liye khamosh rehti thi. Lekin pyar pyar se agle ko sunana to use bhi acha khasa ata tha.
________________
Do vote and let me know your opinion about the story!
Lots of love ❤️
You are reading the story above: TeenFic.Net