Ahil ki Subha ek bohat hi khubsoorat manzar ke saath hui thi jab Ahil ki ankh khuli to usne sabse pehle apne samne apne bazoun me apni Hoorain ko paya tha.
Woh uski shirt ko zor se pakre hue kisi bachi ki tarah soi hui thi.
Shayad Ye manzar Hoorain ke liye naya hota lekin Ahil ye pehle bhi dekh chuka tha.
Jis raat Hoorain Sadia se pehli dafa mili thi us raat bhi woh isi tarah kisi bachi ki tarah usse lipat kar koi thi.
Ahil bohat narmi se uske aas paas baazu hayal kiye hue tha.
Usne ahista se apna ek baazu uski kamar se door kiya aur uske chehre per aye baalon ko hataya.
Jo ke use Hoorain ka chehra puri tarah se dekhne nahi de rahe the.
Woh halka sa jhuka tha aur uske naak per bosa diya tha.
Phir peeche ho kar use kuch der dekhne laga aur phir wahan se araam se uth gaya tha.
Koi aade ghente baad Hoorain ki bhi ankh khul gai thi.
Uske dimag me pichli raat ayi thi aur uska chehra kuch laal ho gaya. Usne kabhi nahi socha tha ke woh kabhi Ahil ke itne kreeb bhi jaa sakti thi.
Woh jab bahir ayi to Ahil haath me coffee aur newspaper liye sofe per betha hua tha.
Hoorain use dekh kar khamosh hi reh gai thi na jane jyu lekin kuch bhi bol nahi ayi thi.
Woh wahan se guzar ne lagi jab Ahil ki awaaz ne use roka tha.
"Kahan jaa rahi ho?"
Usne newspaper me dekhte hue kaha tha.
"Nashta banane"
Hoorain ne apne baalo ko jure me banda aur nashta banane ki taiyari me lag gai thi.
Nashta taiyar karne ke baad Ahil table per aa betha tha.
Kuch der woh dono khamoshi se khana khate rahe phir Hoorain boli thi.
"Ahil"
"Hmm?"
"Kya aap naraz hen mujhse?"
"Naraz? Me kyu hun ga?"
Ahil jaan puch kar anjaan bana tha.
"Kal me aap ko batae bagair chali gai aur woh sab..."
Usne hich kichate hue kaha.
"Well gussa to chara tha tum per lekin naraz nahi hun."
Ahil ne saaf saaf jawab diya tha.
"Lekin tumhe etiyaat karni chahiye thi hoor agar tumhe kuch ho jata to?"
"Me jaanti hun kuch nahi ho ga."
Hoorain ne halki muskurahat liye use kaha tha.
"Woh kese?"
"Aap wahin per jo the."
Kya ehtemaad tha.
Ahil uski baat sun kar muskura para tha.
"Itna Yaqeen he mujh per?"
"Umm pata nahi"
"Bas aese laga mujhe"
"Matlab nahi he Yaqeen?"
"Ab mene aesa bhi kuch nahi kaha"
"Lekin matlab to yehi tha."
"Aap breakfast per dihan den!"
"Arrey ye sahi he pehle khud baat shuru ki ab khud hi aese keh rahi ho?"
Ahil ne use cherne wale andaz me kaha.
"Acha bas kare na ab Ahil!!"
Woh dono halka sa hans pare the.
___________
Holidays ab khatam ho chuke the aur un dono ki wohi normal life shuru ho chuki thi.
Ahil ka office Aur Hoorain ka univercity jana. Aaj Zada classes na hone ki wajah se Hoorain Ahil se pehle ghar aa chuki thi.
Ahil apne roz ke time per hi aya tha. Woh jab ghar me dakhil hua to use ghar ki kuch kuch setting badli hui lagi thi.
Woh unhe dekh ta hua andar aa raha tha jab uski nazar deewar aur living room ki side tables me rakhi kuch photo frames per pari thi.
Use jese koi ajeeb sa dhajka laga tha. Ye sab tasveeren yaha per kese aa sakti thin?
Hoorain apne kamre me sadia se baat kar rahi thi jab Ahil hawa ki tarah andar aya tha.
"Hoorain Ye frames tumne rakhe hen?!"
Usne ye bhi nahi dekha ke woh phone per baat kar rahi he aur us par dhara tha.
Hoorain wahin per dang si reh gai thi. Aur phir use sadia ka khayal aya aur usne call kaati thi.
"Ji... kyu kya hua-"
Usne pareshan hote hue pucha tha.
"Kis se pooch kar?! Maine kaha tha tumse? Bolo??"
Woh us per takriban cheekh raha tha.
"Ahil insab cheeso se bhagne ka-"
"Please tum kuch mat kaho ab!
Me phir keh raha hun Hoorain mere maamlaat me dakhal mat do!"
Woh yaqeenan gusse me apne hawaas khoe hue tha.
Warna aesi baat kabhi na karta. Kam as kam ab to kabhi nahi! Beshak pehle wala caring aur naram tabiyat ka Ahil wapis zaroor ana shuru ho gaya tha phir bhi itne saalon ka gussa khatam karna na namumkin tha.
"Kya mera koi haq nahi he?"
Hoorain ne herani se pucha.
"Han nahi he!"
Ahil shayad khud bhi nahi jaanta tha ke woh keh kya raha tha.
Hoorain ki ankho me kuch utra tha
Lafz the ke saath dene ko taiyaar hi nahi the. Phir bhi usne apna mun khola tha.
"Shukriya meri galat fehmi door karne ke liye."
Hoorain ne apne aap ko mazboot rakhte hue sirf itna hi kaha aur bhaagti hui wahan se nikal gai thi.
Ahil bed per apne sar ko haath me liya gir sa gaya tha.
Usne ahista se kamre pare ek frame ko uthaya aur nam ankho ke saath dekhne laga.
Woh tasveeren uske parents ki thi.
Jinhe woh ek bag me daal ker storeroom me rakhta tha.
Lekin aaj woh saari tasveeren Hoorain ne sare ghar per laga di thi. Jese kabhi kuch saalon pehle lagi hoti thi.
Lekin us haadse ke baad se usne har tasveer ko utar diya tha.
Use aise lagne lag gaya tha jese woh har jagah se use dekh kar sawaal kar rahe hon.
Apni sharmindagi me hi ki gai harkat thi ye.
Uske haathon per rakhe us frame per uske ansu ke kuch katre ghire the.
"Sorry.....Mama ....Baba"
Aur uske mu se ye kuch lafz.
Aaj un photo frames ko phir se un jagaon per dekh kar najane kya tha jo uske dil me ubhra tha.
Nadamat? Khouf? Ya phir kuch aur.
Jo bhi tha us ehsaasaat ke asar me Usne Hoorain per sara gussa nikal diya tha.
Woh kuch der ke liye usi tarah betha raha tha aur jab kuch gussa thanda hua to use Hoorain ka khayal aya tha. Woh jaldi se khara hua aur kamre ke bahir nikal gaya.
Ghar ka har kona dekh chuka tha lekin Hoorain kahin nahi thi.
Uska dil ab kuch ghabrane laga tha. Woh kahan chali gai thi??
Ahil tezi se ghar se bahir nikal gaya tha. Woh building ke aas paas use dhundta raha lekin woh kahin nahi mili thi. Jab use laga ke woh yahan nahi he to usne gari ko nikal liya tha.
Road per gaari dhorate hue woh har jagah dekh raha tha.
Use road ki bench per ek larki nazar ayi thi aur Ahil ne sakoon ka sans liya aur gari se utar ne laga tha jab woh larki wahan se uthi thi aur Ahil ki umeed per paani phira tha.
Woh Hoorain nahi thi.
Ahil ne zor se darwaze per haath mara tha.
"Kahan ho Hoorain!"
Woh kuch aur speed se gaari ko chalane laga. Uska deemag buri tarha ghoom chuka tha.
Use samjh nahi aa rahi thi ke woh gai kahan he aur saath hi saath ek khouf bhi tha. Use khone ki himmat nahi thi usme.
Woh Jab ek bilkul khali street per nikla to wahan koi chal raha tha.
Ahil ke dil me phir ek umeed ubhri thi aur usne yak dam break lagai aur gari se utar gaya tha.
Takreebn bhaagta hua woh us larki ke peeche gaya aur uska haath pakar kar use roka tha.
Woh Hoorain hi thi.
Hoorain ne ghabraa kar cheekh mari thi lekin Ahil ko dekhte hi khamosh ho gai thi.
Ahil ne besakta use apne aap se laga liya tha. Bohat mazbuti se.
Woh beyhad ghabraya hua tha.
Hoorain ko dekhne ke baad jese uski jaan me jaan ayi thi.
"Kahan chali gai thi tum?! Mene pata nahi kahan kahan dhunda tumhe!"
Usne thora piche ho kar kaha tha.
ab bhi Hoorain ke dono haath uski giraft me hi the.
Hoorain ne usse apne haathon ko churwaya tha.
"Me marun ya jiyun aapka kya talluk he?!"
Woh boli thi.
Ahil ne street light ki halki roshni me uska chehra dekha tha.
Aur sharmindagi ka ek toofan tha jo uske andar utha tha.
Hoorain ke hont sardi se kaamp rahe the. Aur woh naram hua tha.
"Gaari me chal kar baat kar len tumhe thand lag jae gi"
Usne dhimi awaaz me kaha tha.
"Kyun?! kyu jaun me aap ke saath me hun kon aap ki!?"
"Tum jaanti ho ke tum kon ho meri."
"I'm sorry Mr Raza me nahi jaanti!! Please aap jaen apne ghar!"
"Me apni biwi ko liye bagair humare ghar nahi jaun ga"
"Humare ghar? me kisi galat fehmi me thi."
Ahil ne use baazu se khinch kar apne kareeb kiya tha.
"Mujhse zada haq he tumhara us ghar per aur mujh per"
Hoorain uski ankho me dekhti rahi thi. Woh kuch nahi mehsoos karna chahti thi kuch bhi nahi.
Phir bhi woh ilfaz us per apna asar daal rahe the. Aur woh shaks jo uske samne khara tha.
Hoorain use kehna chahti thi ke woh nahi jae gi lekin nahi keh payi.
Jab woh apni sochon se bahir ayi to Ahil uska haath pakre use gari ke kareeb le kar jaa raha tha.
Gari me woh dono khamosh the.
Ghar ponchne ke baad Ahil apne kamre me chala gay tha aur apne bed per be jaan sa beth gaya tha.
Hoorain aa kar dusri taraf bethi thi.
Kuch der ki khamoshi ke baad Ahil bolne laga tha.
"Mere liye un frames ko dekhna asaan nahi he Hoorain.
Mere parents ka accident meri wajah se hua tha. Meri wajah se woh dono is duniya ko chor kar chale gae. Meri wajah se Arisha Danish Bhai insab ko mehroomi hui. Sirf meri ek galti ki wajah se.
Uski awaaz kamp rahi thi.
Hoorain ab uske kuch kareeb aa kar bethi thi.
"Woh aap ke parents he Ahil woh aapse naraz kese ho sakte hen?
Aur apke bhai behen aap ko har chees se bhar kar chahte hen.
Koi bhi aapko kasoor waar nahi samjhta Ahil."
"Mera kasoor chota nahi he Hoorain.."
Hoorain ne uske gaalon per haath rakha tha aur uske chehre ko apni taraf kiya tha.
"Maaf kar den khud ko"
"Nahi kar sakta..."
Uski ankho ke ansu veh nahi rahe the lekin woh takleef Hoorain mehsoos kar sakti thi.
Usne Ahil ke kandhe per apna sar rakh diya tha. Jese uski dard jazb kar lena chahti ho.
Ab ek dusre ki takleef un dono ko apni lagti thi. Agar takleef ek ko hoti to uske ansu dusre ki ankh se behte.
________
"Biryani khani he yaar mom ko keh keh ke thak gai hun banati hi nahi"
Anisah aur Hoorain cafe me bethi baate kar rahi thi Jab Anisah ne kaha tha.
Hoorain uska chehra dekh kar hans pari thi.
"Ahil ko bhi bohat pasand he biryani lekin kabhi apne mu se nahi kehte Ke unhe pasand he ya khani he. Humesha diet conscious bane rehte hen."
Hoorain hansti hui keh rahi thi.
"Kitni mohabbat karti ho na tum unse"
Hoorain mohabbat ke naam per jese thitki thi.
"Mohabbat?"
"Han mohabbat! Tumhari koi baat unka zikar kiye bagair mukammal hi nahi hoti. tumhari ankhe Ahil bhai ke naam se hi chamkne lagti hen."
Hoorain hakka bakka si use dekh rahi thi.
"Tum bhi bas.... kuch bhi bolti...rehti ho."
"Kya kuch bhi?! Sach keh rahi hun!"
Anisah ab bhi apni baat manwane per arri hui thi.
"Acha bas karo tum.. class ka waqt ho raha he."
Hoorain ne kisi tarah baat ko ghumaya aur wahan se uth kar chale gaye the.
_________
Assalamu alaikum !!
I hope you all are doing well.
Tell me guys how was the chapter??
And if you liked the chapter then don't forget to press 🌟
And comment guys!!
Lots of love ❤️
You are reading the story above: TeenFic.Net