don't talk to me 😈😈😈😈

Background color
Font
Font size
Line height


Manik pov mara gaya aaj to ye papa aur mamma dono ko sab kuchh bata chuki hai shayd ab kya karonga main isko manane ke liye idea mom se lena tha aur ye mamma ke pass hi bethi hai woh bhi sobing ke sath roti hui. Pov end.

Manik chup chap niche aata hai aur Mr malhotra ose dekh kar gusse main khade ho jate hai aur.

Manik _ you idiot idhar aao abhi maire passΒ  .

Manik norvouse norvouse sa headdown kiye onke pass aakar khada ho jata hai aur.

Manik _ Ji papa.

Mr malhotra _ Ji papa kya ji papaΒ  mughe tumse ye umeed nahi thi tum aisa karoge bahu ke sath aisa bihavior kaise kiya tumne woh bhi tab jab woh maa banne wali hai tumhara ek part oske womb msin parwarish paa raha hai aur tum aadhi adhori baate sunkar osko neglet kar rahe ho ose ignore kar rahe ho ye sab kya hai hum kab se iss din ka wait kar rahe hai aur Tum oss khushi ko celebrate karne ki bajaye ose khatam karne ki koshish kar rahe ho abhi agar nandani gir jati aur baby ko kuchh ho jata to kya karte hum bolo .

Manik _ papa woh maine suna ki nandani abort karwa rahi hai baby ko.

Nandani _ kaise souch liya tumne ki main baby ko abort karwa rahi ho han itna hi stone hearted samgha hsi kya mughe tumne ki apne ajanme bachche ko abort karwa dongi main oss baby ko jiska wait mom dad kab se kar rahe hsi tum kab se kar rahe ho gusse main khadi hokar manik ke samne jakar bolna start kar deti hai aur.

Nyu _ beta don't panic na aisi halat main itna gussa itna stress nahi lete hai bachcha baby ko pareshani hoti hai na betho yahan par aaram se.

Nandani _ maire nasib main kaha aaram hai mom kyu ki thi mairi shadi aapne inke sath kisi kaam ke nahi hai ye na aqal hai na koi samgh hai inhe pata nahi kisne buisness men bana diya inhe MBA ki degree pata nahi kaise mil gayi inko lagta to nahi hai mughe ye degree inhone mehnat se li hai cute sa face bana kar bolti hai aur oski cute si baton ko sunkar nyu Mr malhotra smile hide karlete, hai aur manik itna bada ilzam sunkar ke MBA ki degree meant karke nahi li aise hi li hai gusse main nandani ko dekhta hai jo aankhe nichi kiye bethi hoti hai.

Manik _ tumhe jo bolna hai bolo mairi MBA ki degree ke liye ek word nahi bolna samghi tum itni mehnat ki thi tab mili thi mughe woh degree samghi tum.

Nandani _ lagta to nahi hai aisa kuchh aadhi bato ko sunkar fesla karlete hai aap buisness ke fesle papa hi lete honge shayd aap ke bas ki baat najar nahi aati mughe.

Manik _😒😒😒😒😒😒😒😒

Mr malhotra _ manik aage se aisa kuchh kiya tumne main tumhe one month ke liye ghar se bahar kar donga got it.

Manik _ what papa kya kar denge aap.

Mr malhotra _ one month ke lite tumhe ghar se bahar kar donga achhe se sun lo tum.

Nandani _ Sach papa.

Mr malhotra _ yes my angel mairi princes ko koi rolaye aur oska papa kuchh na kare aisa ho sakta hai kya.

Nandani _ aww thanku so much papa you are great onhe titly hug kar leti hai aur.

Mr malhotra _ are maira bachcha itna bada hogaya ji apne papa ko thanks bolne laga hai han.

Nandani _ sorry papa.

Mr malhotra _ now happy maine manik ki class leliya achhe se oske kaan ke pass jakar bolte hai.

Nandani _ aap ne li hai papa maine kaha li hai inki aisi class longi ke aage se ye kabhi adhi baat sunna hi band kar denge .dhere se bolti hai aur manik dor khada onki baat sunta hai par samgh nahi paati hai.

Manik _ princes I am sorry na plese forgive me na aage se aisa koi kasm nahi karonga main jisse tumhari aankho main aanso aaye plese kaan pakd kar nandani ke samne khada ho jata hai aur nandani shoked si manik ko dekhti hai aur.

Nandani _ aage karke dekhna aisa kuchh main tumhari kya halat karogi tum khud nahi jante ho papa inse kaho abhi inko maf karongi main aisa maira mond nahi hai.

Nyu _ bachcha ab jyada stress mat lo bachcha maf kar do ab.

Nandani _ no mom main inse ab bhi gussa ho bas wait kare ye bhi ab itne din mughe pareshan kiya hai an khud bhi pareshan rahe aur ye keh kar waha se chali jati hai apne room main aur manik helpless sa ose jata hua dekhta rehta hai aur.

Mr malhotra _ kya karte ho manik yar dimag bilkul khatam hogaya hai kya tumhara kuchh bhi souch lete ho kitna royi hai woh jante bhi ho kya woh bhi aisi halat main jab woh maa banne wali hai.

Manik _ sorry papa hogayi galti maine apni itni badi khushi ko spoil kar diya apne aap hi kya karo ab.

Nyu _ kya karo manao ose aur kya karoge.

Manik _ kaise manao papa.

Mr malhotra _ tumhari wife hai beta tumhe pata hona chahiye kaise manegi woh.

Manik _ han danta na ho to aapki beti ban jati hai aur jab mairi bend bhari hai tab mairi bivi bana dete hai this not fair papa main bhiΒ  aapka beta ho aap mughe aise akela nahi kar sakte haiΒ  puppy sa face bana kar just like a kid mr malhotra ko hug kar leta hai aur Mr malhotra hanste hue ose hug kar lete hai aur.

Mr malhotra _ apni sweet 16 ke sath reh reh kar bilkul bachcha ban gaya hai tu bhi yar.

Manik _ main aapke liye bachcha hi rahonga chahe kitna bada ho jao main samghe aap titly hold kar ke bolta hai aur.

Mr malhotra _ manik kya hua bachcha.

Manik _ I am fine dad bas dil kita to aapko hug kar liya maine shayd nandani ka samna karne ke liye mughe power chahiye jo ab mil gayi mughe aapko hug karke hug broke karke mr malhotra ko dekhta hai aur onke cheek par kiss karke nyu ko kiss karta hai aur.

Manik _ I love you both of you papa maa aur bhag jata hai waha se.

Mr malhotra _ kab bada hoga ye nyu.

Nyu _ kyu kare hum bada ye dono aise hi achhe lagte hai ladte hue pyar karte hue mr malhotra ko side hug kar ke bolti hai aur.

Mr malhotra _ hmm grand daughter grand son ke samne ye dono dant khate nge aisa lagta hai mughe yar.

Nyu _ koi baat nahi maja aayega chaliye ab so jaye aapka beta mana lega apni innocent wife ko.

Mr malhotra _ han mana to lega ye to janta hon main. Chalo ab sote hai.

You are reading the story above: TeenFic.Net