Manik Nandani ko leke Lifecare hospital pahunchta hai.
Manik (screamed): Nurse.Nurse.
Nurse (shocked): sir aap.Omg.Dr. Nandani ko kya hua.
Manik: inka accident hua hai.ple doctor ko bulao.
Nurse duad ke Dr. Mukti aur Dr. Sharma ko bhulake lati hai.
Manik (holds her hand and takes her to Nandani): Mukti .dekho na Nandani ko kya hua.
Mukti (checking her pulse): Manik hamare pass time bahot kam hai.Dr. sharma
operation ki taiyaariyaan karo.Nurse emergency situation ki taiyaariyaan karo.
Dr. Sharma Nandani ko Operation theater ke andar le jate hai.
Manik: Mukti.
Mukti (nazare churakar); Manik.main tumhe joothi aasha dena nahin chahti.case bahot
critical hai.chances are 50-50.
Manik (begs): Mukti.kuch bhi ho jaye tumhe meri Nandani ko bachana hi hoga.kuch bhi karo.
lekin muje meri zindagi wapas de do.
Mukti: i try my best.
Mukti operation theater ke andar chali jati hai.aur red light on hoti hai.
Cabir; shambhal apne aap ko.
Manik (cries): kaise sambhalu.meri zindagi mere samne dur ho rahi hai aur tum keh rahe ho
sambhalu.
Navya: kisi ki zindagi aur maut ka faisa hamare haath me nahin hota.
Manik (shouts): lekin Manik Malhotra apni kismat khud likhta hai aur maine apni kismat
Nandani ke saath likhi hai.
Jab ek nurse khoon ki bottle leke daudke ja rahi hoti hai.
Manik: Nurse.Nurse.Nandani kaisi hai.
Nurse: Sab umeed nakamyab hai.kuch bhi kehna muskil hai.aur woh waha se chali jati hai.
Manik (cries really hard): aise kaise woh keh sakti hai.kuch nahin hoga.kuch nahin hoga.
Manik tut jata hai aur Cabir use sambhalta hai aur use wahi pass me padi chair
pe bithata hai.
Thodi dair baad Mukti operation theater ke bahar aati hai lekin uska chahre ka rang
uda hua tha.
Manik (afraid to ask): Mukti.Nandani thik to hai.kya main use mil sakta hoon.
Mukti: Sorry Manik.Kuch bhi kehna muskil hai.bahot hi khoon beh gaya hai aur woh bhi
koi treatment ko response hi nahin kar rahi.Agar use subaah tak hosh nahi aaya to woh
coma me bhi ja sakti hai ya phir is zindagi se bhi.i am really sorry.
Manik: yeh tum kya keh rahi ho.tumhe Nandani ko kisi bhi hal me thik karna hi hoga.
main tumhare samne apne pyaar ki bhikh mangta hoon.ple Mukti kuch karo.meri Nandani
ko bacha lo.
Mukti: Mere se jo ho saka woh maine kiya.ab tumhari dua aur pyaar hi unhe bacha sakta hai.
Manik (gusse se); Tumhe doctor kisne banaya jo tum kisi ki jaan bacha nahin sakti.
aur tumhe kis ne hakk diya aisa bolne ka ki koi umeed ki nahin ja sakti.tumhe use
bachana hi hoga.kisi bhi kimat pe.
Mukti: dekho Manik.jitna ho sakta tha woh to maine kiya na.jitni phikar tumhe abhi ho
rahi hai utni hi phikar muje bhi.behen hai woh meri.lekin ab hume sabkuch bhagwan pe
chod dena chahiye.
Manik: kya main ek bar Nandani se mil sakta hoon.
Mukti: woh aisi halat me nahin hai.tum nahin dekh paonge.
Manik: ple Mukti.Nandani ko meri zaroorat hai.
Mukti. thik hai.
Manik Nandani ke kamre me aata hai.Nandani bed pe behosh so rahi hoti hai.puri bendages
me lipti huyi oxygen mask aur dono haath me IV lagai huyi.Manik Nandani ke pass aake
bethta hai.Manik ko Nandani ka dulhan wala phir woh us din party me aur phir aaj thodi
dair pehle ki Nandani yaad aati hai.Nandani ka chehra murza hua hai.
Manik (Nandani ka haath pakad ke): Pata hai Nandani.maine pehle bhi kayi bar tumhe khoya
hai lekin itna darr muje kabhi nahin laga.lekin aaj main tumhe kaise jane doon apne aapse.
bolo Nandani kaise jane doon.per aaj muje tumse juda hone ke ehsaas se bhi meri ruh kamp
uthti hai.Nandani tumne hi to kaha tha ki main tumhara apna hoon.to aaj kaise tum muje
chod ke ja sakti ho.Nandani maine tumhi se shikha hai ki hum apno ke liye jite hai to main
chahta hoon ki tum mere liye jio.Nandani main jina chahta hoon tumhare saath.tumhare pyaar
ke sahare.main tumse bahot pyaar karta hoon .aur tumhe mere pyaar ka vaasta.ple Nandani
laut aao.laut aao wapas mere pass.I love you Nandani.I love you.
Aur Manik Nandani ka haath apne aakhon ke pass lejake bahot rone lagta hai.
Nandani (ankehn kholkar): Manik.
Manik (holds her face in his hands): Nandani, tum thik to hona.main abhi Mukti ko bulata hoon.
Nandani (Manik ka haath pakad ke): Ruko.yahaa pe betho.tum ro kyun rahe the.tumhe kya laga
main tumhe itni aashani se chodke chali jaungi.
Manik (holds her hand close to his heart): Maine bhi tumhara haath chodne ke liye thode hi
thama tha.itni aashani se tumhe mujse durr thode hi hone dunga.agar tum upper bhi chali
jati na to bhagwan tumhe wapas bhej deta kyunki Nandani Manik ke bina reh sakti hai lekin
Manik Nandani ke bina nahin reh sakta.
Nandani: Nahin Manik.ab to muje bhi tumhari aadat ho gayi hai.lekin agar sach main muje
kuch ho jata to.
Manik: Kabhi sapne me bhi aisa mat sochna.kabhi socha hai tumhare bina mera kya hoga.
tum meri zindagi ho.mere jine ki wajah.ab main tumhe kuch nahin hone dunga.hamesha mere
nazro ke samne rakhunga.
Nandani: mat karo mujse itna pyaar.maine pehle bhi tumse kaha hai.
Manik: Kya karron main hoon hi aisa.na chahte huye bhi tumse itna pyaar karta hoon.
ab tum dekhna yaha se nikhlte hi main tumhe itni khushiyaan dunga ki kabhi bhi tumhare
aankhon ke samna aanshu nahin aayenge.ab tum aaram karo main Mukti se milke aata hoon.
(outside the room)
Manik (haste huye): Mukti.Nandani ko hosh aa gaya.suna tumne.Cabir Nandani ne mujse
baat ki.,.Navya ab main apni Nandani ko apne saath le jaunga.
Cabir: yeh to bahot hi khushi ki baat hai.aakhir kar tumhare pyaar ki jeet huyi.
Navya: Ab Nandani ki jimedari tumhari hai.
Mukti: main Nandani ko check karke aati hoon.
(in side Nandani's room)
Mukti aur Manik andar aate hai.
Mukti: kaisi ho Nandani.Ab kaisa mehsoos kar rahi ho.Agar aaj Manik ka pyaar na hota
to main to harr gayi thi.lekin tumhare pati ne muje itna danta ki pucho mat.
Manik: I am sorry Mukti.maine tumse bahot uchi aawaz se baat ki.
Mukti: Koi baat nahin.janti hoon ki Nandani ko dekhke tum pe kya bit rahi hogi.
Nandani: thank you Mukti.
Mukti: agar sukhriya hi karna chahti ho to apne pati ka karo kyunki unhi ke pyaar
aur dua ne tumhe bachaya hai.Nandani tum bahot hi kismatwali ho jise Manik jaisa
pyaar karnewala pati mila hai.
Nandani: janti hoon
Nandani aur Manik dono ek dusre ki aur dekhte hai.
Mukti: muje lagta hai ab muje chalna chahiye.
Nandani: Mukti mere kal ke discharge paper taiyaar karna.main yahaan nahi rehna chahti.
Maine apne ghar jana chahti hoon.
Mukti: thik hai.
Manik: ab Mukti tum bhi ghar jao aur Cabir aur Navya ko bhi keh dena.
Mukti: thik hai main subaah aake milti hoon.
Manik: thank you Mukti
Mukti: not a problem.bye
Manik and Nandani: bye.
Nandani wapas so jati hai aur Manik wahi s
ofe pe so jata hai.
You are reading the story above: TeenFic.Net