Part 11

Background color
Font
Font size
Line height


 p

Aaj do din gujar gaye hai. Nandani ne bhi hospital jana shuru kar diya hai aur manik

bhi apne project me kuch jyada hi busy hai ya yun kahiye ki khud ko busy rakh raha hai

kyunki manik nahin chahta ki Nandani manik ko dekhke kuch ajeeb sa mehsoos kare.

Lekin aaj ki baat kuch aur hai. Aaj Nandani aur Aryaman ki shaadi ki tareekh hai.

Yeh to Nandani bhi nahin janti ki who aaj ka din kaise gujaregi. Aaj pehli bar Nandani

ke saath aisa hua hai ki who chahkar bhi ro nahin sakti. Nandani taiyaar hoke neeche

breakfast laga rahi thi jab Niyonika aati hai.

Niyonika: Good morning Nandani.

Nandani (palke zukakar): Good morning Buaji.

Niyonika (notice her): Kya hua sab kuch thik to hai.tumhari tabiyat ya phir manik

ne phir kuch kaha.

Nandani (tears in her eyes): manik ko jo kehna chahiye who to who kehta nahin aur

jaisa maine socha nahin hota who waise hi kehta hai.manik kabhi bardashat nahin kar

sakta meri aankhon me aanshu to who kaise iska jimedar ho sakta hai.is aanshu ke

jimedar khud main aur meri kismat hai.

Niyonika: main kuch samji nahin.saaf kaho kya kehna hai tumhe.

Nandani (wipes of the tears): Chodiye na in sab baation ko.waise aapne hi kaha tha

ki purani baation ko yaad karna nahin chahiye kyunki inse sirf dukh aur dard milta hai.

khiar.aap bathiye main aapki chai lati hoon.

Niyonika: aur manik kaha hai.

Nandani: who office ke liye taiyaar ho raha hai.

Niyonika: to thik hai main uska intzaar karti hoon.

Thodi dair baad manik aata hai lekin casual kapde me.

Niyonika: manik aaj tum aise.mera matlab tumhe office nahin jana.

manik: Jee nahin.woh aaj socha kitne din ho gaye kaam karte karte is liye socha ki

aaj chuti.

Niyonika: yeh to bahot achchi baat hai.waise Nandani tum aaj kya kar rahi ho.

Nandani: kuch nahi.bas hospital me kuch kaam hai.dopahar tak aajungi.

manik: aaj tum kahi nahin jaa rahi.aaj hume kahi jana hai.

Nandani : kahin jana hai.tumne to muje kuch nahin bataya.

manik: who aaj subah hi pata chala.

Nandani: thik hai.main taiyaar hi hoon.pehle breakfast karte hai phir chalte hai.

manik: jee.

Kuch dair baad manik aur Nandani Niyonika ko bye karke bahar car ki aur chale jate hai.

manik drive kar raha hota hai aur Nandani khidaki se bahar dekh rahi hoti hai.shayad

kahi gujri huyi yaadoin ki dundhli tasvir me aur uski aankhon se aanshu beh rahe hai.

manik yeh sab kuch dekh raha hota hai lekin kuch nahin kehta.aakhir me thodi dair baad

who log us jagah per pahunch jate hai.

manik: Nandani.chale.

Nandani (comes out of senses); jee.

Nandani bahar aakar dekhti hai to sochti hi reh jati hai.yeh wahi anathalay hai jahan

Nandani pali badi.Nandani manik ki aur dekhti hai aur manik use aage badhne ko kehta

hai.sab bache Nandani ko dekhkar daudte huye uske pass ate hai Nandanidi chilate huye.

Nandani sab ko gale lagati hai aur uske chehre pe khushi sama nahin rahi hoti hai.Nandani

kahi na kahi un bacho ke saath khelne me apna dard bhul gayi thi jab koi manik ke khandhe

pe haath rakhta hai.

manik: aap.

Amms: Main Nandani ki Dai hoon.bachpan se pala hai maine use,.

manik zuk kar uska aashirwad leta hai.

Amms: sada shukhi raho.

manik: who maine.

Amms: bahot pyaar karte ho Nandani se.

manik: pata nahin kitna pyaar me karta hoon lekin Nandani mere jine ki wajah hai

meri zindagi hai.mere liye mera pyaar bhagwaan hai.

Amms: jaisa maine tumhe dekhke socha tha bilkul waise hi ho.khushiyaan to sabhi

dete hai lekin aaj jo tumne Nandani ke liye kiya hai who aur koi nahin kar sakta.

dard me bhi tumne use muskurana sikha diya.is din ke liye main hamesha tumhari

shukhriyada rahungi.

manik: aap muje sharminda kar rahi hai.maine to sirf yeh apne liye kiya hai.jab

Nandani roti hai to me her pal rota hoon.jab Nandani mayush hoti hai to me her

pal ek maut marta hoon.jab Nandani hasti hai to muje ek pal me duniya ki sari

khushiyaan mil jati ahi.Nandani hai hi aisi ki dil karta hai ki duniya ki sari

khushiyaan uske kadmo ke aage bhikhara doon.

Amms: sach me Nandani bahot hi kismat wali hai jise tum mile ho.

manik: nahin kismatwala main nahin balke Aryaman tha jise Nandani ka pyaar mila.

jise Nandani ne apna banaya.

Amms: Ek din aisa zaroor aayega ki Nandani tumhare pyaar ke aage zuk jayegi.

Nandani tumhe Aryaman se bhi jyada pyaar karegi aur tab uske dil me tumhare alawa

aur koi nahin hoga.

manik: bhagwaan aapki baat maan le.

Amms (smiles): main Nandani se milke aati hoon.

Amms: kaisi ho Nandani.

Nandani (turns around and huggs her and cry); main thik hoon.aap kaisi hai.

Amms (seperates her and wipes her tears); aaj ke din aanshu nahin.maine hamesha

tumhe sachi rai di hai aur aaj bhi deti hoon.Aryaman ko bhul jao.

Nandani: Amms.yeh aap keh rahi hai.sab janne ke baad.

Amms: haa.shayad me yeh kabhi nahin kehti ki tum Aryaman ki yaadion se dur ho jao

lekin aaj manik ke pyaar ko dekhkar lagta hai ki ab waqt aa gaya hai zindagi ke kuch

naye faise karne ko.Ek Aryaman ka pyaar hai jo jate jate tumhe aanshu aur dard ke alawa

kuch nahin diya aur aaj yeh manik ka pyaar hai jisne tumhe rote huye bhi muskurana

shikha diya.

Nandani apni bheegi huyi palko se manik ko dekhti hai jo is waqt bacho ke saath khel

raha hota hai.

Nandani: Lekin main koshish kar rahi hoon apne ristey nibhane ki.

Amms: koshish se kuch nahin hota.tumhe shayad apne dil pe paththar rakhke aaj yeh

faisla karna hi hoga ki tum manik ko apnaogi ya phir use chod dogi.aage faisa tumhara hoga.

Nandani: Muje kuch aur waqt chahiye.

Amms: tum apne waqt lete lete kahi aisa na ho ki ek din waqt hi tumhare haath se

aage chala jaye.

Nandani: chalti hoon main .phir kisi din furshad me aaungi.

Amms: Mukti ko bhi saath lana.

Nandani: jee.

Nandani Amms ke gale lagkar use bye karti hai aur phir dono waha se nikal jate hai.

Ab kuch karibi sham ka waqt ho jata hai.Nandani manik ke saath kisi Zeel ke kinare bethi

thi.suraj dubne hi wala hota hai.fiza me khamoshi ki aahat sunai de rahi thi.

manik (breaks slience): Nandani.ab andhera honewala hai.chalo wapas chalte hai.manik

stands up to leave.

Nandani (holds his hand and made him to sit): manik tum to kabhi muje chod ke nahin

jaoge na.

manik (surprized and look at her): Kabhi nahin.mere jite jee to.

Nandani (puts hand on his mouth): Ek bar kismat muje dhokha de gayi ab mujme itni

shakti nahin ki ab aage me zindagi me.

manik (puts his hand on hers); Shayd kabhi kabhi hum chot khane ke baad hi apni raah

sambhalte hai.jaise jab tak tum mere saath college me thi tab maine pyaar ko kabhi

nahin samja lekin tumhare jane ke baad maine pyaar ki keemat samji waise hi tumhare

saath hua.Aryaman ke jane ke baad shayad tumhare dil me unke liye aur pyaar aur izzat

badh gayi.

Nandani (cries): Lekin manik kya Aryaman ka meri zindagi se jana zaroori tha.

manik (wipes her tears and holds her from the shoulders): Jitni zaroor hume achche

insaan ki hoti hai itna hi bhagwan ko bhi.lekin bhagwan kisi ek ko apne pass bhulate

hai to dusre ko vapas bhej dete hai.

Nandani (puts her head on his shoulder): manik tum pehle insaan ho jisne muje sambhala hai.

tum who pehle ho jiske samne me tut sakti hoon kyunki main janti hoon ki tum muje sambhal

loge.tum who pehle ho jo mere kuch kehne se bhi pehle muje samaj jate ho.Aaj ki duniya me

tum jaise insaan bahot kam milte hai.jo sirf sab ko khushiyaan aur pyaar dene me yakeen

karta hai nahin ki badle me kuch lene ki.

manik: Maa hamesha kehti thi ki jitna pyaar hum dusro ko denge usse kahi jayada badle me

khud payenge.main to bas wahi kar raha hoon.

Nandani: her koi yeh nahin kar sakta.tum bahot khaas ho mere liye.

manik: itna hi khas tha to kyun kabhi apne dard mujse batne ko nahin samja.

Nandani (smiles): lekin ab to tum bant rahe ho.

manik: ab bahot raat ho jaye aur buaji ki daant sunni pade usse pehle chalo.

Nandani: chalo.

You are reading the story above: TeenFic.Net