ISHQ E MOHR

Background color
Font
Font size
Line height

Chapter 1

(ASSLAMUALAIUM MERE PYARE AZEEZON UMED HAI AAP LOG THEEK HONGE YEH MERA PEHLA NOVEL HAI . ISLIYE MERI DARKHUVAST HAI KI AAP YEH NOVEL PADHEIN .CHALEIN AB HUM SHURU KARTE HEIN)

Shama buj jae toh phir jal sakti hai ,
Kachti toh har toofan se guzar sakti hai ,
Zindagi mein kabhi mayoos na hona ,
Kyun kay taqdeer kabhi bhi badal sakti hai .

Suboh ki thandi hawa
khidki se aarahi thi voh khidki kay pass khadi thi uskay Mulayam aur kale baal hawa kay zarye ud rahe the uskay gulaab jaisa chehre mein Shabnam bikhar rahi thi uski kali ankhon mein jahaan bhar ka dukh sama huva tha aur voh kisi gehri soch mein gum thi , darwaze kholne kay aahat say voh apne aap mein aai thi .

Are meri bacchi tum uthgai , dadi amma nay kamre kay ander aate hue kaha

Jee amma mein kab ki uth chuki hun aur khairiyat itni subha aap yahan ,zara nay dadi amma say pucha

Haan mein tuje khush khabri suna nay kaliye aai thi ,

Kaisi khush khbri amma mujhe b toh jaldi batein . zara kay ankhon mein bohot sari chamak dhalak rahi thi

Are batati hun itni b jaldi kya hai , pehle toh mujhe ek baat bata tum itni raat tak itna ziyada kyun padti ho , tumhe toh tumhari tabiyat ki bilkul b fiqir nahi rahti , kitni kamzor ho chuki ho . amma nay narazgi zahir karte hue kaha.

Amma aaisi koi baat nahi mai koi ziyada nahi padti bas college kay kuch assignment rahte hain use pura karne tak late hojate hein , acha aap yeh baat choten mujhe jaldi khush khabri sunaen

Acha acha bata ti hun , kal tumhare chacha ka phone aaya tha Maryam ku jo log dekhne kay liye aae the unho nay haan kardi hai .dadi amma kay chehre mein be intihaan khushi thi

Kya sacha amma , zarra kushi se pagal ho kar puchi

Voh log teen din mein mangni karna chahte hein aur tumhari chachi nay tumhe bullaya hai

Acha amma mein tayar ho kar abhi jati hun , zara bhag kar apne almari say kapda nikal nay lagi .

Zara ku acha nak kuch yaad aaya aur voh amma ki taraf palti ,amma teen din baad toh meri exam hai mai kaise aaongi .

Shaam ki mangi ni hai , amma nay kaha

Lakin us din toh sab busy honge mujhe lae nay college ku kon aae ga . zara nay afsoos say kaha

Kisi ko bhejdun gi tumhe pick karne . acha ab jao tayar ho jaldi .

Oooh hooo aaj kaise chand nazar aagaya hai, kaisi hao .maryam nay zara ko mukhatib karte hue kaha .

Mai toh theek hun aur batao tum kaisi ho .

Mai toh first class hun .maryam nay bade josh say kaha

Haan haan . jiju ki Khushi mein toh raho gi tum first class . zara nay Maryam ko cheda .

Are yaar aaisi koi baat nahi hai .maryam nay sharmate hue kaha

Acha kuch ho toh batao mai karti hun , aur chachu aur chachi kahan hai mai salam dua toh kar aaon , zara nay pucha

Voh toh tum baad mein karlo tumhare liye ek khush khabri hai , Maryam nay Khushi say kaha

Arae wah aaj ka din mere liye toh full surprise hai , batao jaldi batao kaisi khush khabri ,zara nay badi josh say pucha .

Voh aaraha hai wapas

Kon ? voh! Zara nay apne tajub chupate hue kaha

Kya tum shock nahi hui ? Maryam nay tajub say pucha

Us kay aane se main shock kyun hongi ,kya voh koi vazeere azem hai? Zara nay mu pherte huve kaha aur haan voh aa kyun raha hai wapas ?

Obviously yaar mere sagai kay liye .maryam nay Khushi Khushi say kaha.

Tum itni khush kyun ho uskay aane say ?

Aray yaar voh mera sagga bhai hai . Yaar voh saari baat bhula do .aur unko maaf kardo

Maafi toh door ki baat hai ! Aur mujhe usse nafert hai .samjhi tum ?

Tum unhe pasand nahi karti lakin voh toh...maryam ki baat puri hone say pehle hi zara nay uski baat kaat di .

Ab bas karo mai is topic pe bilkul be baat karna nahi chahti Maryam .zara bohot mayoosi say kaha.

Ok !yaar main nahi baat karungi.ab apna mood toh theek karo .

Acha .ab koi kam hai toh baata do .

Haan chalo .

Maryam ki sagaai kay din aagae the .zara nay apna imtihaan khatem kar kay wait kar rahi thi .aade ghante beet gae koi use pick karne nahi aaya tha .zara nay apni mom ko phone kya .

Hello! Mom mujhe koi lae nay abhi tak kyun nahi aaya .mai aade ghanta say yahan par wait kar rahi hun .

Tum vahin par ruko mai bhejti hun kise ko.

Panch minute baad us kay samne ek car aake ruka.voh usme bethne hi wali thi kay achanak us ki nazer driving seat pe bethe huve bande par padi.use laga kay voh vahin pe gir jae gi.usne apne aap ko samalha voh apni kamzori us shakhs ko dekha nan ahi chahti .aur vahan se chalne lagi

Zara ghadi mein betho . voh banda usay awaaz dae kar bula raha tha

Voh wahan say aage chane lage .us ki dhadkan bohot teez hogai thi .use kuch samaj nahi aa raha tha use kya hogaya hai .voh bohot hi sakit thi use chakar aane lag the .voh us bande ki awaaz jise sune hue pure 2 saal hogaye the .

Zara ruko please kahan jar rahi ho .ab tum gadi mein nahi betho gi toh mai tumhari ammi ko phone kardun ga .

Theek hai .kardo mom ko phone .tumhare saath jane say mai mom ki do char gali sunlun.zara kay aankhon say ansoon jar aha tha .najane uski aankh mein sare jahan ka gham sama huva tha .

Zara please gadi mein beth jao .usne bohot narmi say kaha .

Tum apne aap ko kya samajhte kya ho faiq .zarra kay ankhon mein angar baras rahe the .

Mai toh apne aap ko insaan samajhta hun .lakin hame toh yeh sawaal ap se karni chahiye kay aap hame kya samajhti hain.usme mazakiya andaaz mein usse pucha.

Tumhari yeh aadet kabhi bhi nahi badale gi .zarra nay mu pherte huve kaha

Acha ab chalo ghar chalele hain muje bohot kaam b hai . usne bohot narmi say kaha .

Voh kuch soch kay gadi mein beth gai .

Saara rasta bilkul khamooshi thi .
Phir faiq nay hi bolna munasib samjha .zara please mujhe maaf kardo .mai apni galti sudhar na chahta hun .
Lakin zara nay koi jawaab nahi diya .
Aur faiq ku pata tha kay voh kuch nahi bole gi .
do no mein koi nahi baat kiya .gadi ghar kay lawn mein ja kar gaadi ruka .voh dhod kar jaldi ghar kay ander chali gai.

Mangni acha tarha say ho chuki thi .zara us din say bohot disturb thi .use kise b cheez mein bilkul interest nahi thi .voh theek tarha se kha b nahi rahi thi .

Jab dining table pe Siddique saheb (dad), farida begum (mom),amma sab jama the tab zara ko gum sum dekhte hue farida begum nay pucha .

Zara tum theek toh hona .mai Maryam ki sagai se tumhein dekh rahi hun .tumhari tabiyat bilkul b theek nahi hai.

Nahi mom mujhe kuch nahi huva bas exam chal raha hai na .uski tension thodi si hai bas aap log tension na lein .zara nay apna mood theek karte hue kaha

Tabhi amma nay Siddique sahib say kaha beta aaj kal meri tabiyat bilkul achi nahi rahti .mai jald se jald iska ghar basta dekhna chahti hun .pata nahi mera waqt kab tak yahan pay .isliye jald say jald iski shaadi kardo .

Amma mujhe shaadi nahi karni .mai aaise hi theek hun .mom muje thodi tabiyat theek nahi lag rahi hai .mai aaram karne apne kamre mein jar ahi hun .

Voh apne kamre mein jake sogai thi .jab shaam ko farida nay aake use uthaya tab voh uthi .zara jaldi say taiyaar ho jao umer chacha kay ghar jana hai .maryam ki shaadi ki date fix karni hai .

Mom main nahi jaungi .meri tabiyat theek nahi hai .

Tumhe aane hi hoga ,bas bohot aaram karliye utho aur jadi say mu haath dho kar taiyaar ho jao.

Sabhi log umer chacha kay ghar mein jama ho chuke the .isne sab ku salam kar kay apne tabiyat ka bahana bana kay Maryam kay room mein jake late gai.isliye kay voh us shakas ka samna nahi karna chahti thi jise voh do saal se nafret karti rahi hai .

Zara tum yahan kya kar rahi ho .bahar aao sab tumhare bare mein puch rahe hein .maryam nay aake use aakele bethte hue dekh kar kaha.

Toh dono saath kamre se bahar nikal gai .

Jab voh dono lawn mein aai toh .un dono ki nazer ek dosre say tak rai .zara nay jaldi say apni nazer niche Karli.aur faiq uski yeh harqat dekh chuka tha .aur uskay honton mein muskurahat pehel gai.

Nazron se nazrein mili toh ,

Jannatein mehekti fiza se .

Maryam ki shaadi 2 saal baad te kardi thi Kyun kay Maryam ko uski padai mukammal karni thi .

Na us din zara nay us faiq se baat ki na usne zara se baat ki .un dono ki bich mein sirf aur sirf khamooshi chai thi .

Din guzar nay lage aur 1 saal yun hi beet gaye .najane us ek saal mein aaisa kuch hogaya zara nay kabhi bhi nahhi socha tha .

6 mah pehle dadi amma ki tabiyat bohot khraab hogai . un dino dadi amma nay sirf ek zid lagai thi kay zara ki shaadi kardo .unko unki poti behad Azeez thi voh uska ghar basta dekhna chahte thi . aur sab ko ek hi tansion thi itni jaldi zara kay liye Rishta dhundna bohot mushkil tha .toh dadi amma nay aaisa jhadka diye kay sab is faisle se bohot khush hogaye .voh zara kay liye unke ek lote pote ka Rishta maangliye .jis kay liye zara nay kabhi khwaab mein bhi nahi socha hoga .aur unlogon nay shaadi ek hafte mein rakh diye

Jab farida begum nay zara se is faisle se baat ki toh us ne koi jawaab nahi di .usne sirf itna hi kaha kay jaise aap ki marzi .voh dadi amma se bohot pyar karti thi .unhe kiise b haal mein dukh nahi dena chahti thi . Chahe use apni khushi hi qurbaan karni pade .

_____________________________-

Aur dosri taraf umer aur mehtab nay faiq se uski rae maloom ki toh voh hairan hogaya

Ammi aap yeh kaisi baatein karahi hein .ager zara ko yeh baat maloom hogi toh voh zindagi bhar meri shakal nahi dekhe gi .

Zara nay is faisle se koi etiriaz nahi hai abhi abhi mujhe Bhabhi nay phone karke bata yah ai ki zara ko is faisle se koi etiraaz nahi hai.

Faiq ko abhi tak yahi sawaal deemag mein chakra raha hai kaise zara nay is shaadi ko maan liya . kya voh mujhe maaf kar chuki hai yah nahi.

Voh bohot khamoosh thi .sab iski khamooshi ko yehi samajh rahe the kay use apne ghar chod kar jane ka gham hai .lakin sirf aur sirf vahi janti thi iski khamooshi ka matlab .uskay ander toofan uth rahe the .aur aaj uski mangni thi .

Arae zara tum abhi tak taiyar kyun nahi hue .bahar sab mehman aa chuke hain.jab maria nay use yuhi bethe hue dekhar boli . maria zara ki sab se achi dost thi .voh bachpan se dono ek saath bade hue the.

Ghar mein har taraf shor mach chuka tha . umer chachu kay ghar kay log sab jama ho chuke the .tabhi Maryam nay darwaze khol kar ander aai . arae meri pyari bhabi aap toh masha allah koi pari se kam nahi lag rahi ho .maryam nay use gale lagte hue kaha.

Usne baby pink color ki long gown pehni thi usme khubsurat moti kay kaam the aur usne halka sa makeup kya tha .use makeup nahi pasand tha .maria kay zulum se usne makeup kya tha . jisse voh behad nazer lag jane kay layaq thi. Tabhi farida begum ander aai aur use dekh kar uski nazer uttar nay lagi.

Ab zara ko stage ki taraf lae ja raha tha .faiq already stage par mojood tha ,jab uski nazer zara par padi toh voh nazer hata na hi bhulgaya tha .voh use is roop mein pehli baar dekh raha tha .voh akser salwar khamees mein rahti thi .

Jab zara ki nazer faiq par padi toh voh b use dekhti reh gai .voh brown sherwani pehna huva tha .voh pehle se hi bohot handsome tha .jis ki brown aankhein , gora chatta ,uncha khad .voh Shehzade se kam nahi tha

Zara ko stage pe aake betha diya gaya .jab voh faiq kay paas ja kar bethi uskay aankh khoon kay ankhoon say bhar chuke the.yeh sirf voh hi mahsoos kar sakti thi .

Faiq nay use apne naam ki anghuti uskay ungli par pehna di .

Raat bohot gehri ho chuki thi voh apne bistar par lati khub ro rahi thi .voh kuch saal pehle vaisa kuch na hota toh aaj voh bohot khush hoti .lakin uski dil mein faiq kay liye nafret din ba din badti ja rahi thi.

Faiq tumne mere saath aaisa kyun kya .ek baat bhi meri nahi suni, tumne mujhe aaisa saza kyun diya kyun ......voh apne ap se bolti hue maazi kay us peher mein doob chuki thi .

3 SAAL PEHLE

Voh apni inter ka exam dae te hue ghar ki taraf aaa rahi thi uskai tabiyat bohot khraab thi 3 din se use laga tar tez bukhaar tha.farida begum nay usay jane se mana kiya tha .lakin padhai ko voh bohot serious lae ti thi.

Jab voh road cross kar rahi thi toh use ek dam se chakar aane laga tha .tabhi voh ek gadi ke samne gir gai . tabhi gadi se ek banda utar aaya aur se dekh kar jaldi se hospital lae gaya.

Hospital mein voh banda idhar se udhar chel raha tha.tabhi doctor nay uskay paa aakar pucha

Aap patient kay kiya lagte hein .

Jee yeh mere gadi kay samne aake giri aur mein nay use foran yahan pe laya.mujhe nahi pata kay yeh koun hain.

Theek ab patient ko hosh aa chuka hai .aap unse puch kar unkay ghar walon ka pata laga kay unhein yahan par bulaye

Jab voh room kay ander aaya toh zara ki halat dekh kar wahin par thera

Jab zara nay na maloomi say uski taraf dekha toh voh jaldi bol pata

Aap ghabrae ga nahi mein nae hin aap ko yahan laya tha .mera naam felz(english name) hai .aap mere gadi kay samne aake giri thi .

Zara ko itni der se kuch samajh nahi aara hai tha .voh hospital mein kyun .ab samajh aane par ek aayak uthne ki koshish kit u ek aayek us kay sar mein dard

Are aap laete rahein mujhe aap kay ghar ka number chahiye .takay mein aap kay parents ku bata dun kay aap yahan par ho. aap 3 ghante se behoosh thi .aap kay ghar wale pareshan hoge rahe honge.

Isne jaldi say khud ka number dae diya voh phone ghar par rakhti thi kyn kay school mein phone lana allowed nahi tha.

Jab felz nay phone kya toh.kise nay ek ring pe hi phone attend kardiya tha .jaise call ka hi intezar ho.aur isne phone mein sab kuch bata diya

Aade ghante mein sab ghar wale hospital mein pahunch chuke the .aur zara ka haaal puch rahe the

Jab felz ko maloom huva kay iskay ghar wale aa chuke hein .voh unlogon ko bata kar ghar jana tha .

Jab usne room mein dakhil huva toh voh hairan ho chuka tha .use kuch bhi samajh nahi aa raha tha

Dad aap yahan.iski awaaz par sab piche mud kay dekhe toh umer saheb hairan ho gaye .

Arae faiq tum yahan kya kar rahe ho.aur tum kab aayae.tumne bata ya bhi nahi kay tum aara he ho .

Zara toh hairan pareshan ho chuki thi aur felz ki taraf dekh rahi thi

Jee dad voh mai ghar ki taraf hi aa raha tha aur yeh beech mein aagai

Aabid shah aur zubaida khatun kay 2 aulaad the siddique shah aur umer shah. Siddique shah ki shaadi zubaida kay behan ki beti fareeda se hui aur umer shah ki shaadi aabid shah ky bhai ke beti se hui mehtab se .siddique shah ki 1 hi aulaad thi jo allah nay 7 saal baad di thi jo zara Siddique shah thi ,aur umer shah kay 2 aulaad thi faiq umer shah aur Maryam umer shah.aabid shah ko kidney fail ho jane ki wajah se intiqaal kar chuke the.siddique shah zubaida kay saath hi rehte the aur umer unkay ghar kay bazook hi apna khwaab gha ban aliya tha

Faiq bacchpan mein bohot shareer tha padhai mein bilkul b interest nahi rakta tha lakin voh bohot hi talented tha isliye umer shah nay uska America bhej diya jahan mehtab ki behan rehti hai .har saal umer aur mehtab use milne America chale jate the .10 saal baad faiq Pakistan aaya tha .zara aur faiq nay ek dosre ko bachpan mein dekha tha .

Jab zara hospital se discharge hoke ghar ku aagai .sab log Siddique sb ky ghar mein hi jama the ,aur zara ko apne room mein bhej diya tha .zara room mein bethe bore ho rahi thi .tabhi Maryam aur faiq zara kay room mein dakhil hue .faiq ku dekh kar zara jhat se uth kay beth chuki thi .maryam aur zara mein sirf 1 saal ka faraq tha .

Arae zara tum toh chote mein itni moti thi na ab itni dubli kaise ho gai yaar .aur tumhare baal toh narial ki jhad ki tarah tha na ab itne lambe kaise hogai .faiq abhi b aae se hi shareer tha har kise ka Mazak utata aur masti karta tha .isliye America mein jis university mein voh padhta tha vahan uskay masti kaamon ki vajah se nikal chuke the .isliye use Pakistan aana pada.vahan voh b.tech kay 3 year mein tha ,ab aage ki degree use yahin par hi lae ni thi.

Zara ko faiq kay yaad dila nay se uska bachpan yaad aagaya tha .kabhi koi mehmaan ise chocolate dae toh faiq uski chocolate khaa jata tha .aur har waqt use maarta phir ta tha.ek baar jab voh log amusement park gae the toh zara ku faiq nay swimming pool mein dekhel diya tha .jiski wajah se zara behoosh ho gai thi .voh sare ghar walon ki jaan thi .iski wajah se faiq ko khoob gali padi.

Zara ko apne bachpan ki dushmani yaad aa chuki thi ab voh faiq par baras padi, Faiq tum toh abhi bhi vaise hi ho jaise pehle the khadoos kahin kay .ab b tumhari wajah se mera accident hone wala tha.zara nay mu pehla te hue kaha.

Ohhh!hellooo madam mein ne hin tumhe hospital lae gaya tha .ager meri jaga koi aur hota na tumhe sadak pe hi chod kar chala jata .mein nay tum par meharbani ki thi tum mujhe thanks kehne kay baja ae ultha mujhe sunai ja rahi hoo.

Aur tumne mujhe hospital mein apne naam felz kyun bataya .kya apne asal naam batade toh mai tumhe maar deti .khadoos kahinke aaya bada .zara ne mu pher te huva kaha.

America mein mujhe sab felz keh kar bulate hain toh mujhe aadet hogi is naam se .isliye mein nay mera naam felz kaha.

Angrez ki aulaad .zara nay isse chudate hue haste hue kaha .

Maryam in dono ki ladai mein tang aa kar dono ka mu apne hathoon se band kardiya

Bas b karo yaar koi bachpan ki ladai ki wajah se ab ladta hai kya .zara mein tumhari tabiyat puchne ky liye aai thi .aur tum dono aaise shuru hogai ab batao kaise hai tumhari tabiyat .

Ab bukhaar utar chuka hai yaar tum fikir mat ho.

Haan haaan itna ladne kay baad buqaar utar hi jae ga na .sara deemag ki garmi mere upper jo utar gai , faiq zara ko tans karte hue kaha.

Jis par zara bohot ghussa hui lakin mu se kuch na boli.

Acha zara ab tum rest karlo .hum baad mein aate hain

Arae yaar vaisa bhi voh bohot rest kar chuki hai .ab ziyada rest karti rahe gi toh moti hojae gi pehle ki tarah hahaaaa,faiq nay bade zor se hassa .jiski wajah se zara ko bohot ghussa aaya lakin voh khamoosh hi rahi .kyun kay ager voh kuch bolti toh uskay har sawal ka jawab faiq kay paas mojud tha .

Bhai aap use itne ziyada sataya mat karein na .

Oyye , tu meri behan yah uski ,

Voh meri behan bhi toh hai ,aur sab se badkar voh meri bestfriend hai,

Okkk,bestfriend ki bacchi , ager tumhari bestfriend ki tabiyat ab achi hogai ho toh kya ham kahin bahar chalein .

Haan yaar mujhe bhi sara din ghar bethe bethe bore ho chuki hun , kya hum beach ko chalein .zara nay bade josh say kaha

Dekha tumhari yeh nak cahdi bestfriend ki tabiyat bilkul theek hai ,yeh toh sab kay samne itni der se natak kar rahi thi.

Faiq tum toh chup hi raho ager mai natek kar rahi hoti toh tum mujhe hospital na lae jate .aur nahi meri koi khwaish thi kay mai jake khud Khushi karun voh bhi tumhari gadi kay samne .

Acha yaar ab bas bhi karo , ab hum chalein shaam ko jaldi bhi ghar wapas aana hai ,warna sab kay paas hame gali hi sunni hai .

Voh teeno faiq kay gadi mein beth chuke the ,faiq aur Maryam samne aur zara peeche bethi thi.ab gadi ghar kay lawn say nikal kar raste par chalne lagi,

To be continue.....

You are reading the story above: TeenFic.Net