Zakhm Se Ishq Tak
Story Description for "Zakhm Se Ishq Tak""Kya pyaar dard ko mitaa sakta hai? Ya phir zakham itne gehre hote hain ki pyaar ka sahara bhi kaafi nahi hota?"Hurain Khan, ek successful businessman, jise duniya uske gusse aur attitude ke liye jaanti hai, lekin uske dil ke raaz sirf woh khud jaanta hai. Aur phir uski zindagi mein aati hai Aairah Sheikh, ek ladki jo apne maazi ke dard ko apne muskurate chehre ke peeche chhupa kar rakhti hai.Ek anjaani shaadi, do alag-alag log aur ek rishte ka aisa safar jo sirf khushiyon se nahi, balki dard, bharosa aur pyaar ke imtihano se guzarta hai. Hurain ka pyaar ek misaal hai, lekin kya Aairah kabhi us par bharosa kar paayegi? Kya uska dil pyaar ka ehsaas kar paayega, ya phir uska maazi uska peecha nahi chhodega?Aur jab maazi ke saaye Hurain aur Aairah ke beech aate hain, tab kya Hurain apne pyaar ko sabit kar paayega? Ya phir unka rishta sirf zakham banke reh jayega?Yeh sirf ek love story nahi, balki ek safar hai pyaar ko samajhne aur apne zakhmo ko bhoolne ka. "Zakhm Se Ishq Tak" ek kahani hai jo aapke dil ko chhoo legi aur har page ke saath aapko sochne par majboor karegi - kya sach mein pyaar har zakham bhar sakta hai?Padhiye aur khud iska jawab dhoondhiye!…