Aadha Ishq

Background color
Font
Font size
Line height

"Aadha Ishq...!" Kusum read the title of the story.

"Skip kar yeh, mujhe nhi padhni yeh sad ending wali story...!" Ambi said.

"Nhi Kusum, padh ise bhi dekhe toh isme kya likha writer ne waise bhi ab tak teeno stories hamare soch se opposite hi nikali hai....shayad yeh bhi ho...!" Shruti said.

"Ambi dekhte hai na isme kya naya padhne ko milta hai...!" Kusum said, Ambi nodded.

•••••|Aadha Ishq|••••

"Kehte hai ki do logon ke beech galatfahemi aksar teesre ki wajah se hoti hai par mera manana hai ki galatfahemi akasar yakeen ko kami ki wajah se hota hai isliye pehle vishwas rakho apne rishte mein pyaar toh ho hi jata hai....!"

August 2013, Lucknow

"Anubhaaaavvvv....!" A girl in her early twenties screamed and the first cry of a newborn echoed throughout the operation room. "Relax ho jao Haseena...tumhara baby bilkul safe hai...!" The doctor assure her, while cutting the umbilical cord. She wrapped baby in a towel and gives it to the nurse.

Two years later

"Hamare baby ko neeni aa rahi hai..meri baby...!" Haseena nuzzled on her baby's stomach, her baby giggles, moving her hands. "Maidam ab main ghar jau, bahot der ho gyi hai..!" Her house maid asked her. "Ji aap ja sakti hai. " The maid left from the house.

Haseena picked her baby in her arms and went to her room. She smiles, seeing a picture of a man.

"Baby dekho aapke Abbu kaise smile kar rahe." She complained to her baby, who is sleeping peacefully in her arms. She kissed her forehead and made her lay on bed comfortably. "Dekh rahe ho na Anubhav, aapki beti bilkul aapki tarah hai...hamare pyaar ki nishani...(she kissed the picture) I love you."

She closed her eyes and her past started roaming in her mind.

"I love you Anubhav...!" She proposed a boy, who is same age of her. "I love you too...!" Anubhav hugged her. "I love you so much Haseena...!" He kissed her forehead . She looked into his eyes, which are full of love and respect for her. She encircled her hands around his neck and placed her lips on his. He got shocked but he kissed her back with same love.

"Haseena do saal ho gye hai hamare is rishte ko, ab hume lagta hai hume ab apne gharwalon se baat kar leni chahiye warna unhe kisi aur se pata chala toh hamare liye samasya ho jayegi.." Anubhav said, playing with her hair. "Tum jante ho Anu hamari family mein ammi ke alawa koi nhi aur unhe hamare relationship se koi problem nhi hai, par tumhari family woh intercaste marriage ke liye permission degi kya?"

"Hamari maa ko toh koi pareshani hai ulta woh toh aapko bahut pasand karti hai par hamare bade pita ji, woh nhi manege par aap chinta mat kariye hum maa ke sath unse alag ho jayenge aur phir hum aap, maa aur ammi ek sath rahenge...!" He said with a smile.

"Promise...?" She forward her hand. "Promise...!" He kissed her forehead.

"Kya kismat hai na hamari, humne apni ammi aur tumhe, dono ko ek sath kho diya...sab kuch badal gya par hamara pyaar nhi badla tumhare liye..bhale hi hamara ishq aadha hai par adhura nhi...tum bhale hi hume bhool gye hoge par hum nhi...humne kabhi nhi socha tha Anu ki tum bhi un ladko ke jaise hoge jise sirf jismani rishte se matlab tha...jo milte hi hume chhod diya..!" A sarcastic smile crept across her face. "Jo bhi ho tumne humse bhale hi mohabbat na ki ho par hum toh aaj bhi tumse beinteha mohabbat karte hai aur apni aakhiri saans tak karenge....!" She said and kissed his picture.

After one week

"Excuse me, please thoda side denge hume, hamari beti ko pyaas lagi hai...!" She requested to a man who was standing before her in the row. The man turned to her, after hearing familiar voice. "Tum....!" Both said together surprisingly.

"Anubhav tum yahan kya kar rahe ho?" She asked him. "Tum yahan kya kar rahi aur yeh tumhari beti hai?" He asked with heavy heart. "Haan hamari beti hai...koi problem hai?" She said tauntingly. "Nhi hume kya problem hogi...tum toh dusro ki zindagi ke faisle bhi khud leti ho toh apni zindagi ke liye hai toh isme kya ashcharya ki baat hai..!" He taunted her with a smile. "Oh..dekho toh kaun bol raha hai...jo jhoothe vade karke sapne dikha kar, beech raste mein chhod gya...woh hume hamare faisle ke liye taunt kar raha hai...!" She taunted him angrily. "Humne na koi jhooth bola aur na koi jhoothe vade kiye...jo kiya tumne kiya, Delhi chhod kar tum chali gyi thi hum nhi...!"

"Toh kya karte us shahar mein rah kar jahaan hume sirf dhokha mila...!" She taunted him, her anger is increasing every passing second.

"Tumhe dhokha mila ya hume?" He asked angrily. "Hume us bare mein koi baat nhi karni...hato hamari beti ko pyaas lagi hai...!" She said, ignoring his words. He looks at her baby, she is continuously smiling at him. He smiles back and kissed her cheeks. Haseena slaps him in anger..

"Himmat kaise huyi tumhari hamari beti ko chhune ki, yaad rakhna Anubhav Singh hum ab woh Haseena nhi hai jiska fayda tumne utha kar chhod diya tha...agar tum galti se bhi hamari beti ke aas paas bhi aaye toh kasam hai hume hamare pyaar ki woh hashr karenge tumhara ki puri zindagi Haseena ka naam nhi bhool paoge...!" She warned him, and left from there. While he was still confused what happened with her. Why she slapped him. He looks around when he feels people staring him.

Few hours later

"Jai Hind Sir!" Anubhav saluted his senior. "Jai Hind Anubhav! Baitho..!" Anubhav sits in front of his senior. "Tumhara track record dekhte huye tumhe yahan transfer kiya gya aur sath hi tumhe ek case diya ja raha hai.!"

"Kaisa case sir?" He asked. "Actually hamare shahar mein pichhale do mahine se bahut si choriya ho rahi par ek bhi chori ka saboot nhi mil pa raha hai, chor bahut chalaki se aata hai apna kaam karke chala jata hai...kisko uske bare mein kuch nhi pata.!"

"Hum case file dekh sakte hai sir...?" He asked. His senior gives him the case file. After reading the case. "Case solve ho jayega sir...!"

"Sir hamare rehne ke liye kuch prabandh hua ki nhi?" He asked. "Sorry Anubhav par tumhe kuch din rent par rehna padega, humne ek ghar dhundh liya aur tum aaj hi shift ho sakte ho..!"

"Koi baat nhi sir, hume bas raat mein sone ke liye jagah chahiye din toh waise hi headquarter mein guzar jata hai" He replied with a smile. "Yeh raha address (giving him a note pad) humne sari baat kar ki hai aur advance bhi toh tension mat lena..!"

"Sir aap jante hai hum tension dene walon mein se hai lena hume nhi aata...!" He said with a smile. "Woh toh hai...!"

One hour later

"Address toh yahi hai...(he press the door bell switch again) " Kahiye kisse milna hai?" A girl asked him, but as they sees each other they gets shock. " Hume nhi pata tha ki tum itne begairat ho ki Thappad khane ke baad bhi hamare samne phir se chale aaoge...!" Haseena taunted him. "Thappad ka jawab humne nhi diya iska yeh matlab bilkul bhi mat samjhna ki hum shuru se galat the, humne us thappad ka jawab isliye nhi diya kyunki us waqt tum sahi thi...ek maa ki aagya ji bina uski beti ho aise pyaar se kiss karna galat tha..!" He said in same tone.

"Khair hum yahan ladne nhi aaye hai, hume CS sir ne baat ki hogi aapse ya aapke husband se...! "

"Oh toh aap hai woh police officer?" She asked surprisingly. "Ji...hume aapse koi lena dena nhi bas hamara room bata dijiye hum wahan chale jayenge...!"

"Agar hume is waqt paiso ki zaroorat nhi hoti toh is aadmi ko apne ghar mein ghusne nhi dete par majboori...chhodo Haseena jane do, is waqt Dhvani ke liye sah lo is aadmi ko"

"Kya soch rahi hai devi ji?" He asked tauntingly. "Upar ka area sab aapka hai isliye upar hi rahiyega neeche sirf ghar se aane aur jane ke liye hi aaiyega...aaj aapko dinner mil jayega par kal se apne breakfast se lekar dinner tak ki vyavastha khud kar lijiyega aur raat mein kabhi bhi door bell mat use kariyega kyunki hamari beti ki neend distrub hogi...hum aapko spare key de denge use kar lijiye lega...samjh gye?"

"Ji samjh gye, ab hum jaye? " He asked with an ear to ear smile. "Jaiye aur haan hamari beti se door rahiyega...!" He smirk mischievously and leaned against her ear. "Aapke paas aa sakte hai?" He asked in his husky voice, which send a shivers to her spine. "Dur rah kar baat kariye aur hamare kareeb aane ki koshish ki toh humse bura koi nhi hoga aapke liye...!" She said angrily. "Woh toh hum jante hai aapse bura koi nhi hai....!" He taunted her with a smile. "Huh...jaiye yahan se...!" She said angrily. He went to his room with his bag.

At Dinner Time

"Par maidam aise achanak se naukari se nikalne ki wajah?" Her kaamwali asked to her. "Hum maafi chahte hai par kya kare aap dekh rahi hai hamari job ka kya haal hua aur is waqt hum aisi condition mein nhi hai ki aapko salary de paye par aapka bahut ehsaan rahega aapne do saal hamari bahut help ki ek maa ki tarah hume sambhal aur hum promise karte hai jaise hi hamari financial condition sahi hoti hai hum wapas aapko bula lenge...!" She puts her reasons. "Koi baat nhi maidam main samjhti hoon par dhyan rakhiyega apna, woh police wala kirayedaar se bach kar... " Ab humne kya kar diya jo humse bach kar rehne ki baat ki ja rahi hai?" He interrupted them. "Kuch nhi...maidam main ja rahi hoon agar kabhi zaroorat pade toh bula lena...!" Haseena nodded and her house maid left the house.

"Aisi bhi kya paiso ki tangi aa padi ki kaamwali ko kaam se nikal diya? " He asked, looking at Dhvani, who is smiling. "Dinner kariye aur jaiye yahan se...hamare personal matter mein padne ki zaroorat nhi hai." She said coldly. "Waise aapke husband nhi aaye abhi tak?" He asked while sitting opposite to her. "Abhi kaha na hamare personal matter se dur rahiye toh dur rahiye."

"Okay...hum toh bas isliye puchh rahe the ki kahi bechare hume aapke sath dekh kar yeh na samjhe ki aap apne ex ke sath unhe dhokha de rahi hai..!" He said, serving food in his plate. "Daddaaa...!" Dhvani said sweetly, looking at Anubhav. He smile wholeheartedly hearing dad from Dhvani. "Kuch bhi kahiye aapki beti hai bahut pyari bilkul aapki tarah..!" He said smilingly, looking at Dhvani. She smiles but soon she remembers something and her expression changes, her smile disappears and anger takes over her heart.

"Waise naam kya hai aapki beti ka?" He asked. "Kya karenge jaan kar, dinner kariye aur nikaliye..!" She said angrily. "Gussa aaj bhi naak par lekar ghumti hai aap." He said with a smile. She rolled her eyes in annoyance.

After dinner

"Dhvani bacche aise pareshan nhi karte ammi ko kha lo na dawai.." Dhvani nods negatively, but her mother made her ate medicine, she pouted sadly, Haseena hugged her. "Baby hum jante hai aapko dawai pasand nhi hai par aap dawai nhi loge toh jaldi se thik kaise hoge." She said emotionally.

"Tumhe bacche bahut pasand hai na Anu? " She asked. "Bahut bahut se bhi jyada bahut pasand hai hume, aur jab hamari beti hogi hum use dhere sara pyaar karenge..!" He said, dreaming about their future. "Shaadi huyi nhi aur tum baccho tak pahuch gye..!"

"Shaadi bhi ho jayegi aur bacche bhi, bas kuch mahine ki baat hai jaise hamara result aayega hum training puri karte hi sabse pehle duty join karenge phir shaadi..!" He said with a smile. She smiled.

"Shaadi toh nhi huyi par us din ki wajah se tumhari wish puri ho gyi, upar wale ne hume beti de di bas tum badnaseeb ho ki tumhe uske abbu hone ka hak kabhi nhi milega...!"

Other side

"Kitna aasan tha na tumhare liye hume bhool kar aage badhna..hum bewakoof insaan pagalon ki tarah tumhe Delhi mein dhundh rahe the aur tum yahan kisi aur ko apne dil mein jagah de chuki thi...(he smile sarcastically) kya khoob kahani hai hamari...ek pal laga ki hamara ishq pura hai par aaj samjh aaya ki hamara ishq hamesha se adha tha....tumhe apne samane dekh kar hume kitni khushi huyi hum bata bhi nhi sakte, bhale hi tum ab kisi aur ki ho par khush ho yeh hamare liye bahut hai...koshish karenge ki jald se jald tumhari zindagi se chale jaye...!" He kissed her picture with a smile.

[Story Paused]

"Yaar yeh kya confusion hai...dono ek dusre se pyaar karte hai phir alag kaise huye aur chalo mana misunderstanding ho gayi hogi dono par ab toh Haseena ko Anubhav ko bata dena chahiye ki Dhvani uski beti hai...jhagda side rakho beti par focus karo...!" Ambi said.

"Dhyan se sun Ambi...Haseena ko jab Anubhav galat lag raha hai toh woh kyu bataye Anubhav ko ki Dhvani uski beti hai...jab galatfahami hoti hai toh insaan ko samane wale ki har achchhai mein burai nazar aati hai jo kamiyan use kabhi na dikhi ho woh achanak se nazar aane lagti hai." Shruti said to Ambi.

"Par Haseena aaj bhi Anubhav se pyaar karti hai."

"Pyaar alag baat hai Ambi par vishwas bhi zaroori hai, writer ne bola na ki bina vishwas ke rishte nhi chalte...un dono mein pyaar toh hai par vishwas mein kahin kami rah gyi hai jiski wajah se dono alag huye hai...ab dekhna hai ki in dono ka aadha ishq mil kar pura ho pata hai ya nhi..." Kusum said with a smile.

"Toh jaldi se story continue karo, kyunki mujhe janana hai ki baki writer ki tarah inki story mein woh third person ki wajah se misunderstanding huyi hai ya phir inki baki kahaniyon ki tarah yahan bhi kuch naya milega..! " Ambi said curiously.

"Mujhe bhi yeh janana hai ki yeh bhi baki stories ki jaisi hai ya kuch naya..!"Shruti said.

"Thik mein aage padhti hoon..!" Kusum said and started reading

"Char din se ho gye par ab tak hume Haseena ke pati nhi mile...kuch toh aisa hai jo Haseena chhipa rahi hai, aakhir kaun hai woh jo Haseena ka pati hai aur Dhvani ka Pita..!" Anubhav said to himself suspiciously.

To be continued.....

Kya Anubhav jaan payega kaun hai Dhvani ka Pita aur kya Haseena safal ho payegi Anubhav se Dhvani ka sach chhipa pane mein...janane ke liye milte hai agle bhaag Kaun Hai Woh mein....✨

Dhanyavaad ✨🤍✨


You are reading the story above: TeenFic.Net